Tere bin bata Main kese ye Zindagi Jee paunga?
Dharkan hai Tu Mere Dil ki Tujh bin Mar jaunga
Khushi Meri Chheen ke kehti ho Hamesha Hasna
Ek wajah bata de ab kis liye Mai Muskuraunga?
Kehte hain Log Mujh ko k Zindagi ek Jannat si hai
Tujh bin ye Jahannum hai her bar ye Dohraunga
Mat Chhor Muje Tanha Tujhe apne Pyaar ki Qasam
Akele hi zindagi ka Bojh bata kese Main Uthaunga?
Thora Yaqeen ker Mera aur Thora Mujh per Aitbaar ker
Saath Tera hoga to Yaqeenan is Dunya ko Haraunga
Sirf Ashqon se Mere ab jalta hai Diya Chirag ka
Tu agar Juda hogai to Aansoo mai sabko Bahaunga
Chaand hai Tu Mera Tu ne Zindagi ko Roshni di hai
Siddiq kehta hai Tujh bin Andheron mai Ghoom ho jaunga
Ye Dil Tum Se Pyaar Karna Chahta Hai Apni Mohabbat ka Iqraar karna chahta hai
Jab se dekha hai Tum ko Ae Sanam!!
Bas Tumhara hi Dedaar karna chahta hai
Logon se sunte the Mohabbat ke Afsaane
Khuwaab Hum ne bhi dekhhe the Suhaane
Pyaar kya hai ? Hum aksar sochte the
Is Baat se Hum apne Dil ko rokte the
Lekin ab Tumhain is Dil main basa ker
Yeh Khata ek baar karna chahta hai
Yeh Dil Tum se Pyaar karna chahta hai
Apni Mohabbat ka Izhaar karna chahta hai
Patthar tha Magar Baraf k Galon ki tarha tha
Ek Shakhs Andheron mai Ujaalon ki tarha tha
Khawbon ki tarha tha na Khayalon ki tarha tha
Woh Ilm-e-Riyaazi k Sawalon ki tarha tha
Uljha hua aisa k kabhi Hal ho nahi paya
Suljha hua aisa k Misaalon ki tarha tha
Wo Mil to gaya tha Magar apna hi Muqaddar
Shatranj ki Uljhi hoi Chaalon ki tarha tha
Wo Rooh mai Khushbo ki tarha ho gaya Tehleel
Jo Door boht Chand k Haalon ki tarha tha
Mila Wo b nahi karte, Mila Hum b nahi karte Wafa Wo b nahi karte, Wafa Hum b nahi karte
Unhein Ruswai ka Dukh, Hamein Tanhai ka Darr
Gila Wo b nahi karte, Shikwa Hum b nahi karte
Kisi Morr per Takrao ho jata hai aksar
Ruka Wo b nahi karte, Thera Hum b nahi karte
Jab b dekhte hain Unhein, Sochte hain kuch kahein unse
Suna Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte
Lekin! ye b Sach hai k Mohabbat Unhain b hai
Izhaar Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte
Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain
Kabi Mehfil Mehfil phirtey hian, Kabi Zaat mai Tanha hote hain
Kabi Chup ki Mohrr lagate hain, Kabi Geet Labon per latey hian
Kabi Sab ka Dil Behlatey hain, Kabi Khood mai Tanha hote hain
Kabi Shab-Bhar Jagte rehte hain, Kabi Lambi Taan ker sotey hain
Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain