*****************
is tarah us se gufttugu karta
aaina us ke rubaroo karta
mujh ko apni hi aarzoo na rahi
aur kya tark e aarzoo karta
hur qadam per ulajh ke kaanton se
apne daaman ko kya rafoo karta
mujh ko maloom tha woh mera nahi
kis liye us ki justujoo karta
kaash aata woh pal ibadat mein
dil mera sirf "tu hi tu" karta
woh jo mil jata aik baar mujhe
apni chahat ko sarkhuroo karta
haal e dil us ko sunata "ghayas"
woh agar mujh se guftugoo karta...
********************
**********************
Meri nazar mai apni nazar baar baar rakh
ik teer dil, jigar k hamesha hi paar rakh
Dharkan Per Apni Kuch Bhi To, Tu Ekhtiyar Rakh
Aye Beqraar Dil Too Zara To Qaraar Rakh
Sarchashma Terey Dil Mein Muhabbat Ka Hai Agar
Sookhay Har Aik Hount Pey Aansoo Ki Dhaar Rakh
Aye Maut Zindagi Ka Abhi Haath Main Hai Haath
Thamoonga Tera Haath Bhi, Tu Aitbaar Rakh
Dil Mein Nahin Jo Ishq To Kaa'hey Ki Bandaagi
Sajday Mein Apnay Sar Ko Agarchey Hazaar Rakh
Kaaba Agar Nahin To Isay Butkada Bana
Dil Mein Khuda Ki Yad, Ya Tasveer-e-Yaar Rakh
Hamlay Shadeed Hoon'gey Anaa Key "Khateeb" Phir
Qaayem Khudi Key Gird Khuda Ka Hisaar Rakh
************************
*****
**************************
Jab Tumhari Aankh Say Girey Khoon Aanso-on Ki Jagah
Tab Jaano Gey Tum Judai, Kis Cheez Ko Kehtey Hain
Jab Har Koi Tumhein Be-wafa Sa Lagney Lagey Kuch Aisey
Tab Jaano Gey Tum Be-wafai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain
Jab Saadgi Ke Badley Mein, Tumhein Kuch Na Haasil Ho
Tab Jaano Gey Tum Buraai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain
Jab Dil Pey Haath Phairney Say, Uss Ka Naam Likha Mehsoos Ho
Tab Jaano Gey Tum Likhaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain
Jab Pyar Mein Tumhein Ghamon Ki Dolat Haasil Ho Jayey
Tab Jaano Gey Tum Kamaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain
Jab Tumhara Dil Tumhari Maney, Na Ke Tum Uss Ki Maano
Tab Jaano Gey Tum Rihaai, Kiss Cheez Ko Kehtey Hain !
****************************
Dil ki baat laboon per la kar ab tak hum dukh sehtay hein
Hum ne suna tha is bastii mein dil walay bhi rehtay hein
Beet gaya sawan ka maheena, mausam ne nazrein bedleen
Lakin inn pyaari ankhon se ab tak aansoo` behtay hein
Ik hamein aawarah kehna koi bara ilzaam nahi
Duniya walay dil waloon ko aur bohat kuch kehtay hein
Jin ki khatir shehar bhi chora jin ke liye budnaam howaye
Aaj wohi hum se be-ganay be-ganay se rehtay hein
***********************
Aflaak say baala hai kisi dar ka nehi hai
Rishtaa mera tum say jo hai pal bhar ka nehi hai
Pikhley ga na mere zabt say ghaabraa kay sitamgar
Insaan hai woh bhi koi pathar ka nehi hai
Woh chaak jigar rakh kay yoon kehty hain k dilbar
Yeh kaam tere jeisey rafuuGarR ka nehi hai
Dunia ko badalney ki naii ho koi tarkeeb
Aye Eihl e janoon waqt yeh ab daar ka nehi hai
Dunia jo kehti hai kehye meri balaa say
Aalam toh abi mere barabar ka nehi haii
*************************