Main Khawab banke use neend me dikhai doon
Woh jo mera qurb chahe to main use JUDAI doon

Kuch is tarah se mujhe chahe ki har ghadi
Main dhadkano ki tarah usse qalb me sunayi doon

Tarap tarap kar mujhe mangta rahe lekin
Siwaye apne main use saari Khudai doon

Kitaab khol ke dekhe to mera chehra hi
Main warq warq main usko dikhayi doon


Humne apnay armaanon ko aag lagaanaa seekh liyaa
Aag lagaakar, armaanon kee khaak uraanaa seekh liyaa.

Khel ke sach se aankh michaulee jab hum baazee haar gaye
Sachchaayee kee aankh se humne aankh milaanaa seekh liyaa.

Pyaar mein paagal dil kee jab se hunsee uRaayee logo ne
Chup kee chilman meiN dil kee har baat chhipaanaa seekh liyaa.

TooTay khwaab kee kirchon ne jab khoon bahaayaa aankhon se
KHwaab mein khoyee aankhon ko din raat jagaanaa seekh liyaa.

Patthar ho gayee aankhen ab takte takte raah bahaaron kee
Dard ke sookhe patton se is dil ko sajaanaa seekh liyaa


Hijr ki shab main qaid rakhe yan subha visaal mein rakhe
Acha MAULA! teri marzi tu jiss haal mein rakhe

Khel yeh kaisa khel rahi hai dil se teri muhobbat
Ik pal ki sarshari dey aur dinoo ka malal rakhe

Maine saari khushbooyen anchal se band kar rakhiin
Shayed in ka zikr tu apne kissi sawaal main rakhe

Kissi se tere anay ki sarghoshi ko sunte hi
Maine kitne phool chuney aur apni shawl main rakhe

Mushkil ban kar toot pari hai dil per yeh tanhayi
Ab janay yeh kab tak isko apne jaal main rakhe


Apne hathoon ki laqeeron main chupa ley mujhko
Main hoon tera naseeb, apna bana ley mujhko

Main jo kaanta hoon tu chal mujhse daman bacha kar
Main hoon gar phool tu jhoorey mein saja mujhko

Main khuley dar kay kissi ghar ka saman hoon pyare
Tu dabey paon kabhi aa kay Chura ley mujhko

Tarq-e-ulfat ki kasam bhi koi hoti hai kasam
Tu kabhi yaad tu kar, bhoolne walay mujhko

Mujhse tu poochne aya hai wafa kay maa'ni
Yeh teri sada dili maar na dalay mujhko

Main samander bhi hoon, moti bhi hoon, ghota zan bhi
Koi bhi naam mera ley kar bhula ley mujhko

Tuney dekha nahin ainey se agay kuch bhi
Khudparasti main kahiin tu na ganwaa ley mujhko

Kal ki baat aur hai, main ab sa rahoon yan na rahoon
Jitna jee chahey tera, aaj sata ley mujhko

Band kar sang-e-wafa kar diya gharqaab tuney
Kon aisa hai jo ab dhoondh nikaley mujhko

Khud ko baant na daloon daman daman
Kar diya agar tuney mere hawale mujhko

Badah phir badah hai, main zeher bhi pii jaon 'qateel'
Shart yeh hai, koi bahoon main sambhaley mujhko


Agar hoti kabi zuban is GULAAB kii
tum se karta wo sifarish NIKAAB kii......


Kitne hi Dil tujh pe machale hai
ye sab sazish hai tere SHABAAB kii......

Ab b ankhe tarasti haiN didar ko
ab b to zeenat hai KHUAAB kii......

Ab b teri sazayen mujhe yaad hai
ab b hai mujhe chahat AZAAB kii......

Ab b wo lamha sitam dhata hai
jis lamhe ki thi jurat ADAAB kii......


Jo aansu na hote aankho mein
to aankhein itni khubsurat na hoti


jo dard na hota dil mein
to khushi ki koi qeemat nahi hoti

jo bewafai na ki hoti waqt ne
to wafa ki kabhi chahat na hoti

agar sochne se hojati mohobbat ki muradein
to DUA ki kabhi Zarurat na hoti..


Mujhe Azmane Wale Mujhe Azman ke Roye
Meri Dastane Hasrat Suna Suna ke Roye

Teri Bewafaiyon Par, Teri Kaj Adaiyon Par
Kabhi Sar chupa Ke Roye, Kabu Munh Chupa Ke Roye

Jo Sunai Anjuman Men Shab-e0 Gham Ki Aab-biti
Kabhi Ro ke Muskaraye, Kabhi Muskara Ke Roye

Main Hun Be-Watan Musafir, Mera Naam Bekasi Hai
Mera Koi Bhi Nahin Hai Jo Gale Laga Ke Roye

Mere Paas Se Guzar Kar Mera Haal Tak Na Poocha
Main Yeh Kaise Maan Jaun Ke Woh Dur Ja KE Roye


mujhe apni AANKHO par pyar aata hai........
jab tum inme dekhte hue dil me utar jate ho

muhe apni BAATO par pyar aata hai.............
jab tum inhe sunte hue dheere se muskurate ho

mujhe apne HONTHO par pyar aata hai............
jab tum inhe chhute hue sanso me ghul jate ho

mujhe apne DIL par pyar aata hai...........
jab tum dil se dil ke taar jodte chale jate ho

mujhe apne HAATO par pyar aata hai.............
jab tum inhe thaame hue manzil par badte jate ho


mujhe apni ZINDGI par pyar aata hai............
jab tum isme shaamil hote chale jate ho


Wo Kehti hai Suno Jana
Muhbbat Moom Ka Ghar Hai
Tabish Bad Gumani Ki
Kahin Pighla Na De Ais ko

Main Kehta Hoon
Jis Dil Main Zara B Badgumani Ho
Wahan Kch Or Ho Tu Ho
Muhbbat Ho Nai Sakti

Wo Kehti Hai Sada Aisay He
Kaya tum Muj Ko Chaho Gaye
Keh Main Ais Main Kami Koi Bhi
Gawara Ker Nai Sakti

Main Kehta Hoon
Muhbbat Kaya Hai
Yeh Tum nay shikaya hai
Mujay Tum Say Muhbat K Siwa
Kch b Nai Ata

Wo Kehti Hai
Judai Say Buht Darta Hai Mera Dil
Keh Khud ko Tum Say Hat Ker Dekhna
Mumkin Nai Hai Ab

Main Kehta Hoon
Yahi Khadshay Buht Muj Ko sattay Hain
Mager Sach Hai Muhbbat Main
Judai Saath Chalti Hai

Wo Kehti Hai
Batao Kaya Mere Bin Ji Sako Gaye Tum
Meri Baatien,Meri Yaadien,Meri Ankhien
Bhula Do gaye

Main Kehta hoon
Kabhi Ais Baat per socha nai main nay
ager ik pal ko b sochon tu
saansien ruknay lagti hain


wo kehti hai tumhien muj say
muhbbat ais kader kio hoon
Keh main ik aam si lerki
tumhien kio khas lagti hon

main kehta hoon
kabhi khud ko meri ankhon say tum dekho
meri dewangi kio hoon
yeh khud he jaan jao gi

wo kehti hai
mujay warftgi say dekhtay kio ho
keh main khud ko buht
keemti mehsoos kerti hoon

main kehta hon
Mata-e-jaan buht anmool hoti hai
tumhien jab dekhta hoon zindgi
mehsoos kerta hoon

wo kehti hai mujay alfaz k jugno nai miltay
keh tumhien bata sakon
keh dil main mere
kitni muhbbat hai

main kehta hoon
muhbbat tu Niighaon say jhalkti hai
tumhari khamosi muj say
tumhari baat kerti hai

wo kehti hai
batao na kis ko khonay ser darta ho
batao kon hai wo jisay
yeh musam bulatay hain

Main kehta hoon
yeh meri sheri hai aiena dil ka
zara dekho batao kaya
tumhien ais main nazar aya

wo kehti hai
Atif ji buht baatien banatay ho
mager sach hai yeh baatien
buht he shaad rakhti hain

main kehta hoon
yeh sab baatien yeh fasany ik bhana hain
keh pal kch zindagani k
tumhare saath kat jaien
phir us k baad khamoshi ka
dilkash raqs hota hai
nagihaien bolti hai or
lab khamosh rehtay hain


Aao...
or na socho.
soch ke kia paao gey..
jitna bhi samjhey ho.
itna hi pachtaao gey.
Aao..
or na socho..
tum ehsas ki jis manzil per ab pohnche ho.
wo meri dekhi bhali hai.
jane bhi do.
is ka kab tak sogg manana..
yeh dunia andar se kion itni kaali hai..
Aao..kuch ab jeene ka saman karen hum.
such ke hathon,,,hum ne jo shakal paaye hai..
jhoot ke hathon.
woh mushkil asaan karen hum.
tum meri ankhon me ankhen dal ke dekho.
phir me tum se saari jhuti qasmen khaaun.
phir tum woh sari jhuti baten dohrao.
jo sab ko acchi lagti hen.
jesey...
wafa karne ki baten..
jeene ki...
marne ki baten..
hum dono yun waqt guzaren.
.me tumko kuch khuwaab dikhaun.
tum mujhko kuch khuwaab dikhao.
jinki koi taabeer na ho.
jitne din yeh mail rahe ga..
dekho acha khel rahe ga.
or kabhi dil bhar jaye to.
kehdena tum..
beet gaya milne ka mausam.
Aao.
or na socho...
soch ke kia pao gey...