Aye Roop Nagar Ki Shehzaadi,
Thodi Si Inayat Ho Jaye,
Ek Roz Agar Tum Chupke Se,
Meri Aankhon Ko Sairaab Karo,
Bechain Mera Dil Rehta Hai,
Kuch Aur Ise Betaab Karo,
Is Talkh Haqeeqat Sehra Ko,
Ek Meetha Sundar Khwab Karo,
Ek Roz Meherbaan Ho Jao,
Mere Dilke Nigehbaan Ho Jao,
Is Tapti Dhoop Ki Sakhti Mein,
Ek Shaam Ki Chhanv Mil Jaye,
Murjha Se Gaye Hai Din Mere,
Ek Shaam To Meri Khil Jaye,
Aur Shayad Mere Honthon Se,
Har Zakhm Tera Bhi Sil Jaye,
Hum Qais Nahi Farhad Nahi,
Par Phir Bhi Kahin Aabad Nahi,
Shayad Ye Karishma Ho Jaye,
Tumhe Humse Mohabbat Ho Jaye,
Aye Roop Nagar Ki Shehzadi,
Thodi Si Inayat Ho Jaye...


Kal Raat Bahut Toot Ke Barsa Tha Ye Badal,
Aur Humne Bhi Ashqon Mein Bhigo Ke Aanchal,

Ye Dilki Lagi Chain Se Rehne De To Sochein,
Kyon Phailta Jaata Hai Meri Aankh Mein Kajal,

Is Dilse Koi Puchhe Ye Zeest Kati Kyonkar,
Jab Jaan Ye Shikasta Thi Dil Gam Se Tha Ghayal,

Phir Yaad Tujhe Karke Ye Nain Baraste Hain,
Jab Shaam Dhale Dard Ke Uthe Koi Badal...


Dekhe Hain Jo Khwab Likh Rahe Hain
Aankhon Ka Azab Likh Rahe Hain,

Guzri Hai Jo Dil Pe Lamha Lamha,
Kuch Uska Hisab Likh Rahe Hain,

Mausam To Nahi Nami Ka,
Deewane Gulab Likh Rahe Hain

Ek Wasl Ka Pesh Lafz Likh Kar,
Ab Hijr Ka Baab Likh Rahe Hain

Nafrat Ka Sabak Bhula Ke faysal,
Ek Taza Nisab Likh Rahe Hain