Agar har chehre mein usika chehra nazar aata hain
agar har baato par uski naam lete hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
maine bhi kissi se pyar kiya tha..

agar kisike inthzaar karne mein samay nahin dykte
agar vuski aane par dil jhoom uttha hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
maine bhi kissi se pyar kiya tha..

agar kisike dhoor jane ke baadh unki yaad satati hain
agar sab ke saat rehte huye bhi akele mehsoos kartein hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
mane bhi kissi se pyar kiya tah..

khud mein khud baatein karna
har pyarisi gaane par sirf hum donoka nazar aana
agar ise pyar kehte hain toh haan
Maine bhi kissi se pyar kiyahaah...

agar uski dil mein pyar ki koyi jaga nahin
phir bhi uski pyar ki intzaar karna
agar ise pyar kehte hain to haan
Maine bhi kissi se pyar kiya tha...


suno! tum yaad mat karna
agar hum mar bhi jain tu
dill-e nashaad ko phir sey
na tum bar baad ab karna
humain tum yaad mat karna
k ye yaadain tu jism-o roh ka
nasoor hoti hain
humarey wastey jevan ko yoon
be-noor mat karna
humain tum yaad mat karna
agar hum chor k tum ko
manoo mati main so jain
humaari aankh bojhal ho
aur hum nendoo main kho jain
humarey khwaab ko ankhoon main
phir aabad mat karna
suno! tum yaad mat karna
humarey wastey jevan ko yoon
barbaad mat karna


Aaj ki raat yaadoN kay kuch mehmaaN aanay waalay haiN

Aaj udaasi nay phir chheRaa hai saaz
Aaj dard phir kuch sunaayega
Tanhaayiii nay baaNdhay haiN ghuNgroo
Aaj waqt bhi thahar jaayega

ChaaNd ! apni chaaNdni idhar rakh jaanaa
Aanay haiN aaj kuchh bhoolay huay say chehray
Ashko ! aaj tum bhi ji bhar kay beh lenaa
Behal jaayeN aisay hi shaayad ahsaasoN kay safeenay
Naghmo !Aaj qadam saMbhal saMbhal kay rakhna
Aaj ki raat khwaaboN kay naam hai
In lamhoN ka hai chalan aisaa
Ki aaj tarpaygi takhleeq lefz dar lafz
Khaamoshi ka zehr subko pilaayaa jaayega

Aaj ki raat zindagi pay bhaari hai
Aaj jalaiNgay khwaahishoN kay alaav
HaNstay haNstay hoga aaj umeedoN ka qatl
Meri zindagi aaj phir mayzbaan bani hai
Woh baras jab jazbaat nay li thi pehli angRaayii
Us baras ki yaad aaj mehmaan bani hai

Woh door ufaq pay uthtay haiN ghubaar
MehmaanoN kay qaafily pahuNchnay waalay haiN
Dard-e-dil ko saMbhaaluN ab main
Ai faza'oN tum hawaaoN pay likh lena
BehoshioN main nazm jo banaa loon ab main


raat roti hai bichad kar tum se
chand gum sum hai hawa band fizaon ki tarah
ungliyan kampti hain
hont yak-lakht kisi zalim o be-rahm tashanuj se lipat jate hain
jab kabhi band darichon ki taraf dekta hoon
hook uth-ti hai mere seenay ki gehrayi se
barishein bichrhay hoye logo ki
kis kadar dost howa karti hain'
barf kar deti hain jaltay hoowe angaron ko
aur kabi barf ko aatish mien badal deti hain

meri veerani
meri be-chaini
teri jaan soz judai ki alam-naki mein
iss tarah uljey hoowe hain ke sulajtey he nahi
jis tarah kaanton bari shakh mein aanchal koi
thoda kichta hai to kuch aur ulaj jata hai
din bilakta hai tere hijr ke soonay pan mien
shaam ghabra ke sisak uthti hai
RAAT ROTI HAI BICHAR KAR TUM SE
ungliyan kampti hain
hont yak-lakht kisi zalim o be-rahm tashanuj se lipat jatey hain



Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai
Gar Banaye To Muhobbat Main Judai Kyun Hai

Kyun Diya Pyar Mujhe Iski Zaroorat Kya Thi
Meri Barbadi Me Shamil Teri Hikmat Kya Thi


Meri Raahon Me Khushbu Ka Safar Rahta Tha
Dil Me Aabaad Gulabo Ka Nagar Rahta Tha
Jindgi Khar Bhari Rahome Layi Kyun Hai
Aye Khuda Tune Muhobbat Ye Banai Kyun Hai

Mai Hoon Bikhra Hua Gardish Me Sitare
Mere
Gam Ke Tufan Mai Dube Hai Kinare Mere
Na Khatavaar Na Mujrim Na Gunahgar Hoon Main
Sach To Ye Hai Ki Muhobbat Ka Parastar Hu Main
Aye Saja Phirbhi Mere Hisse Mai Aye Kyun Hai
Aye Khuda Tune
Muhobaat Ye Banae Kyu Hai
Mai Agar Rou To Sahra Ko Samandar Kar
Doon
Sakht Ho Jaoon Agar Mome Ko Pathar Kar Doon
Raakh Ho Jaye Jaha Mai Jo Agar Aah Bharu
Aasma Tutpade Tujse Jo Fariyad Karu
Etni Gaherae Mere Ishq Mai Aai Kyun Hai
Aye Khuda Tune Mohabbat Ye
Banaye Kyun Hai
Agar Banaye To Mohabbat Me Judai Kyun Hai......... .!!!






Woh Ankh Bhi Jhupkay Laraz Jata Hoon
Mujhay Us Say Zeyada Zarorut Hai Uski


Ji To Karta Hay Usay Muft Main Jan Day Dain MOHSIN
Itnay Masoom Khareedar Say Kya Laina Daina


Ub to tanhai ka yeh aalam hay faraz
koi hans k bhi dakhay to muhaabat ka guman hota hay


Dil to kya cheez hai Hum Rooh mein Otray hotay
Tum ne Chaha hi Nahi Chaahnay walon ki tarha


kahin tanha na kar de tujhe MUNFARID Rehne ka SHOQ FARAZ
Jub Din Dhale Tu Kisi Se HAAl-E-DIL Keh Diya Kar



main us k Haathon ma tha tute hue Sheshe ki tara Faraz
Bari umeed thi k Bikhrny nehi dy ga
bas giraya kuch iss ada say k
phir simatny ki Aaas hi na rahi


Jis sham barastay hain tere hijr k badal
Us shab koi hijr ka tara nahi hota
Yun hi mere pehlu mein chala ata hai aksar
Wo dard jisy main ne pukara b nahi hota


Aaj uski Aankho main raaz wohi tha
Chehra bhe wohi tha libas wohi tha
Usse bewafa kesay keh du Siddiq
Aaj bhi uske dekhne ka andaz wohi tha


Tu to suraj hai tujhe kya maloom raat ka dukh
kisi roz utr mere aangan mein shaam k baad


Bikhar Rahay Hen Meri Zindagi k Tamaam Warq
Na-Janay Kab koi Aandhi Ura k Le Jaye
Mein Dosron k Dukh Kab Tak Sambhal k Rakhon
Jis Jis k Hen Wo Nishani Bata k Le Jaye


Wo roz dekhta hai dobty hoye suraj ko Wasi
Kash main bhi kisi sham ka manzar hota


Mera derd phir sai ghazal buney
Kabhi gunganao tou iss trha
Merey zakham phir sai gulab hon
Kabhi muskarao tou iss trha
Meri derkhanain bi tou larz uthain
Kabhi chott Khao tou iss trha

Jo nahi tou phir barey shoq sai
sabhi rabtey sabhi zabtey
Kabhi dhoop chaoon mein tor do!
Na shakast-e-dil ka sitam saho
Na suno kisi ka azab-e-jaan
Na kisi sai apni Khalash kaho
Yunhi khush phiro'Yunhi Khush raho

Na ujer sakain Na sanwr sakain
Kabhi dil dukhao tou iss trha
Na simat sakain Na bikher sakian
Kabhi bhol jao tou iss trha
Kabhi tor jaan sai guzer sakain
Kabhi Yad aao tou Iss trha!


Subh Ki Pehli Kiran Yoon Tau Jaga Deti Mujeh
Band Khirki Se Magar Kese Sada Deti Mujeh

Mein Teri Yaadon Mein Khoya Muntazir Hota Tera
Koi Khushboo Teri Amad Ka Pata Deti Mujeh

Sheher Se Urr Ker Bhi Tere Pass Aa Sakta Tha Mein
Gar Tera Pagiham Gaon Ki Hawa Deti Mujeh

Malgajay Kaghaz,kitabein,phool Patay Shairi
Zindagi Ke Pass Kia Tha Jo Sawa Deti Mujeh

Mere Lafzon Mein Ghina Ka Zaika Mojood Tha
Woh Kabhi Ik Sheir Tau Mera Suna Deti Mujeh

Uska Ghar Safdar Kahin Anghoor Ki Beilon Mein Tha
Zindagi Ki Dhoop Mein Yeh Tau Bata Deti Mujeh


Ulfat Ka Jab Kisine Liya Naam Ro Pade,
Apni Wafa Ka Soch Ke Anjaam Ro Pade,

Har Shaam Ye Sawal Mohabbat Se Kya Mila,
Har Shaam Ye Jawab Ke Har Shaam Ro Pade,

Raah-E-Wafa Mein Humko Khushi Ki Talash Thi,
Do Gaam Hi Cahle The Ke Har Gaam Ro Pade,

Rona Naseeb Mein Hai To Auron Se Kya Gila,
Apne Hi Sar Liya Koi Ilzaam Ro Pade...


Phirse Mausam Baharon Ke Aane Ko Hai,
Phir Se Rangeen Zamana Badal Jayega,
Ab Ki Bazm-E-Charagaan Saja Lenge Hum,
Ye Bhi Armaan Dilka Nikal Jayega...

Aap Kar Dein Jo Mujhpe Nigah-E-Karam
Meri Ulfat Ka Reh Jayega Kuch Bharam,
Yun Fasana To Mera Rahega Yahin,
Sirf Unwan Uska Badal Jayega,

Fiki Fiki Si Kyon Shaam-E-Maikhana Hai,
Lutf-E-Saaqi Bhi Kam Khali Paimana Hai,
Apni Nazron Se Hi Kuch Pila Dijiye,
Rang Mehfil Ka Khud Hi Badal Jayega...

Mere Mitne Ka Unko Zara Gam Nahi,
Zulf Bhi Unki Aye Dost Bharam Nahi,
Apne Hone Na Hone Se Hota Hai Kya,
Kaam Duniya Ka Yun Hi To Chal Jayega,

Aapne Dil Jo Mera Toda To Kya,
Aapne Uski Duniya To Chhoda To Kya,
Aap Itne To Aakhri Pareshan Na Ho,
Wo Samhalte Sambhalte Sambhal Jayega...


Pata Nahin Kaunsay Halaat Say Majboor Tha
Woh Shaks Jo Apni Chahaton Main Mashoor Tha

Woh Dil Band Dil Daar Dil Ruba Dil Nasheen
Mere Dil Ka Chain Mere Aankhon Ka Noor Tha

Mere Shanay Per Uskee Ghangoar Ghata Zulfain
Ek Waqt Main Uski Khushboo Say Makhmoor Tha

Pathar Ankhain Bejaan Wujood Majzoob Kergia
Woh Dil Nawaz Jub Mere Nigah Say Door Tha

Kub Tak Is Ujaar Dil Ko Tassallian Dun Schaa?
Mere Chahat Ke Siwa Rab Ko Kuch Manzoor Tha


Tanha rehna seekh raha hoon
Mar kay jeena seekh raha hoon

Mang kay pana seekh liya hai
Pa kay khona seekh raha hoon

Sabar ko zad-e-rah bana kar
Kanch pay chalna seekh raha hoon

Phirtay, phirtay sehra, sehra
Pyaas ko peena seekh raha hoon

Marham to rakhna na aaya
Zakhm khoorachna seekh raha hoon

Jeenay kay hain ajab taqazay
Zinda rehna seekh raha hoon

Madhooshee nay bohat sataaya
Hosh main rehna seekh raha hoon

Barson guzray phir bhi ab tak
Maan say bichcharna seekh raha hoon

Dar kar zehar kay pyaalay say
Such ko chupaana seekh raha hoon

Rotay rotay auron par
Khud pay hasna seekh raha hoon

Ghum nay mujh ko bohat hai khaya
Ab gham khana seekh raha hoon

Is pay hairan hotee hoon
Kartab, kya kya seekh raha hoon

Mang kay pana seekh liya hai
Pa kay khona seekh raha hoon

Sabar ko zad-e-rah bana kar
Kanch pay chalna seekh raha hoon


Tumhara khat mila jana!!
Wo jis mein tum ne poocha hai
k aab halaat kaise hain
Mere din raat kaise hain
Mehrbani tumhari hai k
tum ne is tarhan mujhe se
Mere halat pooche hain
Mere din raat pooche hain
Tumhien sab kuch bta don ga
Mujhe itna bta do k
Kabhi sagar kinare per
Kisi machali ko dekha hai
k jis ko lehrain pani ki
kinare tak to lati hain
Magr phir chorr jati hain'
Mere halat asey hain
Mere din raat asey hain


Aik wahem tha dil main
Shayad kabhi milo tum
kuch dair ruk ker poocho
beetay dinoon ka moosam
aawaz main ho larzish
aankhoon main ho tajassus
Mazay ka koi lamha
shayad atak gaya ho
sab bhool ker bhi shayad
kuch yaad agaya ho
phir main tumhain bataoon
apni khushi ki baatain
har dukh ko chupa ker dil main
aasoodgi ki baatain
wo chand chudhween ka
taroon bhari wo aankhain
dilkash haseen shamain
maasoom wardatain
wo piyaar ka tasawwor
wo bandagi ki batain
Wo rooz rooz marna
Aur zindagi ki baatain
Tum dukh say muskurao
Dheeray say muskurao
Dheeray say paas aao
Sar ko jhuka kay apnay
Chup chaap loot jao
Phir main bhi muskuraon
Maan kay diyay jalaon
Duhraon apnay dil main
Taa'luq say haqeeqat
Aik khuwab zindagi ka
Haan umer bhar jo daikha
Kabhi ho saka na pora
Younhi rah gaya adhoora
Aik khuwab-e-zindagi tha


Agar!!!
agar wo badshah hota
to koi baat bhi hoti
suna hai badshahon ko
dain aisa koi nazrana
jo sab cheezon se barh kar ho
to apni badshahat hi tak luta dete hain wo aksar
mohabbat hai hamare pas
magar wo badshah kab hai!


mujhe likhne ki kwahish hai
magar lkha nahen jata
mere alfaz dil ki aahanai dewar se sar phorte hain
aur inhen izhaar ka rasta nahen milta
meri ankhen jinhen dil mein chupe jazbat ko askhon ki boli mein
'bata dene pe qudrat thee
wo ab kuch bhi nahen kehten
! mere ye lab
jo dil ki an kahi baton ko kehne se nahen darte thai
wo lab kuch bhi nahen kehte
! meri ye ungliyan
jo dil mein chupe jazbat ko izhar ka rasta batati theen
wo an kuch bhi nahen likhten
meri ankhen, ye lab, meri ungliyan mujh se kehte hain
ke ab jazbat ko izhar ka rasta nahen dena
ke moo zoor hote hain
faqat rasta ke milne se
inhen manzil talak jane ki hajat hi nahen rehti
nayee raste pe jate hain
nahyee rahen banate hain
magar phir wapsii ke sab nishan bhool jate hain
inhen rasta nahen dena
! inhen tum dil mein rehne do
wagarna khoon rulayen ge
inhen rasta nahen dena
!inhen tum dil mein rehne do
mujhe likhne ki khwahish hai -


Poora Dukh Aur Aadha Chaand
Hijr Ki Shab Aur Aisa Chaand,

Itne Ghane Badal Ke Pichhe,
Kitna Tanha Hoga Chaand,

Meri Karvat Par Jaag Uthe,
Neend Ka Kitna Kachha Chaand,

Sehra Sehra Bhatak Raha Hai,
Apne Ishq Mein Sachha Chaand,

Raat Ke Shahid Ek Baje Hai,
Sota Hoga Mera Chaand...


Aaj Ashkon Ka Taar Toot Gaya,
Rishta-E-Intezaar Toot Gaya,

Yun To Thukra Ke Chal Diye Goya,
Ek Khilona Tha Pyaar Toot Gaya,

Roye Reh Reh Kar Hichkiyaan Lekar,
Saaz-E-GaM Baar Baar Toot Gaya,

Aap Ki Berukhi Ka Shikwa Kya,
Dil Tha Na-Paidaar Toot Gaya,

Dekh Li Dil Ne Besabati-E-Gul,
Phir TilisM-E-Bahar Toot Gaya,

Kya Chaar Dinki Ranjish Se,
Itni Muddat Ka Pyaar Toot Gaya...


Raaton Mein Agar Na Ashq Bahaun To Kya Karun,
Ek Pal Bhi Usko Bhool Na Paaun To Kya Karun,

Maine Suna Hai Unko Andhere Nahi Pasand,
Raahon Mein Ab Main Dil Na Jalaun To Kya Karun,

TuM Hi Kaho Chhod De Jab Zindagi Bhi Saath,
Phir Maut Ko Gale Na Lagaun To Kya Karun,

Socha Tha Ke Chhod Dun Unki Gali,
Lekin Kahin Qaraar Na Paaun To Kya Karun...


Kehne Ko Mera Usse Koi Waasta Nahi,
AMjad Magar Wo Shakhs Mujhe Bhulta Nahi,

Darta Hoon Aankh Kholun To Manzar Badal Na Jaye,
Main Jaag To Raha Hoon Magar Jagta Nahi,

Aashuftagi Se Uski Use Bewafa Na Jaan,
Aadat Ki Baat Aur Hai Dil Ka Bura Nahi,

Tanha Udaas Chaandko SaMjho Na Bekhabar,
Har Baat Sun Raha Hai Magar Bolta Nahi,

KhaMosh Ratjagon Ka Dhuaan Tha Chahaar Su,
Nikla Kab Aaftab Mujhe To Pata Nahi...