Aitebar Mat Kerna
Chand ki udasi ka
Manzilon ki Qurbat ka
Dard ki Judai ka
Bekali ki Furqat ka
Chahton mai Khushion ka
Rasty main Logon ka
Shehar ki Muhabat ka
Pyar k Musafir ka
Hijar k Bahany ka
Aitebar mat kerna
Ansoo'n k behny ka
Umar bhar zmany ka
Aitebar Mat Kerna !!



AADAT SI PAR GAI HAI
Aalam Jhailney ki
Ashkon key saath Jaisey
Sar-e-Sham Khelney ki
Jab Tak Na Chashm tar ho
Dil ko Sukoon Nahin Hai
Ek Dukh Ho to Bataoon
Mere Bas Main kuch Nahin Hai
Ab ki Baar Lekin ......
Dukh Aisa kuch Mila hai
Key Jaan to Baqi hai
Par Saans Ruk Gai Hai
Aur Dua bhi .........Janey
Kidhar ko Bhatak Gai Hai
Mujhe Itne Dukh Na de key
Mera Sabr Toot Jai
Is Kashmakash Main Mujh Se
Meri Jaan Hi Rooth Jai
Key ab ki Baar "Ansab"
Mujhe Phir se Dukh Miley to
Ab key Na Seh Sakoon ga

chalo yun hi sahi
uss shakhs ko bhool jatey hain
nahin, hum kuch nahin kehtey
hum apney khwab atish-dan main rakhney ko razi hain
tamana'on bharey daman ko uth ker jharr detay hain
wo jo ik shoq tha dil main useey anqa samjhtey hain
hum apney aap ko apney liye moquf kertey hain
tumhein hum kuch nahin kehtey

bus ik khwahish hay, so es ko bhi tum nazer-e-Mohabbat ki tarah jano
wohi khushboo jo apni jan hay, ab ajnabi tehrey
chalo yun hi sahi,
ik baat lakin zehan main rakhna
"kisi mosam k mathey per humarey hont ubhren gay
kisi roshan zamaney main humari bhi talab ho gi
kisi tareek jungle main humarey naam k jugnoo janam len gay
kisi lamhey ki ankhon main humarey ishq ka kajal laga ho ga
kisi bay saya basti main shajer hum say harrey hon gay"


Gehree gehree aankhon waali
uljhee uljhee paagal larki ..
tu yeh kis ki dhun main aakhir , lambi lambi palkon ooper..
motay motay aansu le ker..
sunder komal pairon neechay , jalti balti dharti day ker
kariya kariya bhaag rahee hai, kis ki khaatir jaag rahee hai ..

Tujhko ye maloom naheen kya
tujh jaisi najaanay kitnee gehree gehree aankhon waali..
kaisi kaisi sunderta kay dhair khazaanay lay ker nikleen
lekin phir bhi is rastay say manzil tak puhnchaanay waala...
HAR iK SAATHi JHOOTA NiKLA
ik ik aasha dushman niklee ik ik sapna dhoka nikla
sacha har ik khadsha nikla
Dekho ! tum bhi jaanay do ab
nadaani ka jitna rasta tum nay ab tak tey ker daala
us rastay say ghar ki manzil
ab bhi itni door naheen hai
ab bhi waapis jaa saktee ho,sab kuch waapis paa saktee ho
ab bhi gar tum nadaani kay is rastay say ghar na palteen
to phir ik din aisa na ho ga
SUNDER AANKHAin MAR JAAYEiN GEE
palkain khoon say bher jaayeingee
jaan labon per aa jaaye gee
Tan kay saaray ujlay-pan ko ghor musafat khaa jaaye gee
us din phir tum chilao gee , lekin kuch na haasil ho gaa
saaray lums kay bhookay saathi punkh laga kay urr jaayeingay
tum rastay main reh jao gee , rasta bhi wo jis ke peechay
DARR ki gehree daldal ho gee , aagay ghum ka jungal ho ga , sir per gehra baadal ho gaa

Us din ke aanay say pehlay , Us din tak jaanay say pehlay
waqt milay to dhalnay waalay
HAR LAMHAY Ki ZAAT PAY SOCHO
duniya ki bareek nazar say , duniya ki har baat pay socho
Jazbon ki aukaat hi kya hai
jazbon ki aukaat pay socho
Wo Dekho ! ik saaye per phir weeraanay main bijlee karki...
GEHRi GEHRi AANKHON WAALi , ULJHi ULJHi PAAGAL LARKi !


Ager tum dhoondhna chahoo
too main tum ko
khizan rasida, be saya darakhtoon main miloon ga
jahan mehtaab se mehroom ratoon ko khizan aaram kerti hai
jahan girtay hoay patoon ke matam main
hawa ka saaz shamil hai
meri awaz shamil hai
ager tum dhoondhna chahoo
too main tum ko
kisi veran basti main
kisi be-aab sehra mai miloon ga
ke main sehra ki urti rait ke zaroon ka hisa hoon
koi bhooli kahani hoon
koi qisa purana hoon
kisi din tum jo aa niklo
kisi veraan qariye main
kisi aisay kharabay main
jahan koi nahi rehta
jahan tareek ratoon ko
khamoshi cheekh ker apnay makinoon ko bulati hai
achanak is kharabay main
kahin baitha hoa dekho
kisi tanha musafir ko
too phir itna samjha lena ke tum nay pa lia mujh ko
ager tum dhoondhna chahoo




Mujhe koi aisa raasta bata
Ke jis per chal kar
Mein tujhe bhool sakoon
Ya phir
Mujhe koi aisi raah dikhlaa
Jis per chaltay huwe
Mein tere saath guzre huwe
Lamhoon ki rafaaqat
Ek khwaab samajh kar
Bhula sakoon
Ya phir
Mujhe koi aisi simt bataa
Jahaan jatay huwe
Mein tujhe na sochoon
Na hi tujhe yaad karoon
Aur
Agar aisa koi raasta
Aisi koi raah
Aisi koi simt
Nahe hai tere paas
Tu phir
Mujhe mere haal pe chor day


Muhabat kiss ko kehtay hain
Hamay tum nay sikhaya tha
Ibadat kis ko kehtay hain yeh bhi tum nay bataya tha
Magar jab hum muhabat ki kisi wadi main kho-ay thay
Suhanay khawab mairi jaagti ankhoon main so-ay thay
Hamain tanha kiya tum ne koi awaz tak na dee
Humhain dhoondha bohat sapnay sajati mairi aankhooN ne
Buhat khushfehmian pali
Buhat hi door ja niklay
Jahan say loot anay main
Hamay ik umer lagni thee
To uss damm aik pal socha!
Keh kyun na hamm kuch door aur ja bhatkain
Kisi nayi oor ja niklain
Kisi kay sath phir hum bhee
Khail muhabat ka phir khailain
Kisi ka toor dain dill hum
Kisi ko sooz main daikhain
Magar mushkil pari hum ko
Keh hum pathar nahen balkay dharakta dill hi rakhtay hain


bas yoon hi rasmi rasmi sa
ik be-mafhoom taruf tha
us nay mera number mang lia
phir ik din telefone kia
phir fone kia
ik rooz thi barish zoroon per
badal garjay, bijli chamki
phir bondain barseen khirki per
tab us ka telefone aaya
be sakhta main nay us se kaha
barsat main tanhai ki saza
kyon deti ho
kyon kerti ho tum fone mujhe
kuch lamhoon tuk wo chup se rahi
phir kehnay lagi
jo aap ka dheema lehja hai
mujhe be-haad acha lagta hia
awaz jo aap ke hoonton se
tashna kanoon tuk aati hia
mujhe us ki yaad delati hia


inn ansoo ki bhi ha zaban
pukaree tuj ko herr pal
per tu masroof ha tamasha dekhnay mai
chup reh ker azma raha ha mujhay
yaad rakhna ki ansoo na hoge kabhi katham
aisa na ho ki kul koi samander ho teri rah mai
woh samander nahi mere ansoo ruke ge tujhe
ha yaqeen ki tu sang dil koi aur rasta lee ga dhond
perr yaad rakhna ki herr rastay mai tuj ko na milee ga
jo chaheye tujha itna toot ker
meray ansooyon ki kashish
shayad lee ayee tujhe merray daaar
meray ansoyoun ki koi kemat nahi teri nazar mai
yaad rakhna ki meray ansoo ha buhut anmol



Phir wohi main,wohi tu
Phir wohi shaam, wohi tanhai
Phir wohi geeet,wohi jankhar
Phir wohi baat,wohi raaz
Phir wohi din,wohi raat
Phir wohi gham,wohi aass
Phir wohi rang, wohi roop
Phir wohi agaz,wohi anjam
Phir wohi main,wohi tu
Phir wohi sur,wohi sangeet
Phir wohi jaan,wohi pahchan
Phir wohi log,wohi khuda
Phir wohi main,wohi tu
Phir wohi shaam,wohitanhai
Phir wohi yaad,wohi naam
Phir wohi paal,wohi lamhay
Phir wohi tum,wohi main
Phir wohi ruthna,wohi manana,
Phir wohi aakar ,wohi dur jana
Phir wohi hansii, wohi rona
Phir wohi main, wohi tu,
Phir wohi sham,wohi Tanhai



Tum kya jano yadon main kho kar ankhain kitna roti hain
dil main apno ka dard samo kar ankhain kitna roti hain


tumkya jano sawan ka mausam kitni aag lagata hai
barish ki boondon ko chhoo kar ankhain kitna roti hain.


ab toh chhoti si baat par bhi yeh dil bhar sa jata hai
halki si dil ko lagti hai thokar ankhain kitna roti hain.


ab toh ye jeena bhi hum ko koi bojh sa lagta hai
din bhar is baar ko dho kar ankhain kitna roti hain.


zakhm zakhm hain ankhain meri maazi ki parcchai say
apnay ander lahoo duboo kar ankhain kitna roti hain


Chalo ye raat ham ik dosray ke naam kartay hain,
Chalo ik dosray ke aj ham dukh dard suntay hain,
Bhataktay ho kiun tum tanha sitaron ke jhamelon men,
kaho jo dil men aata hay hamatan gosh sunte hain,
Buhat ghamgen rehtay ho hazaron dard sehtay ho,
tumhari dharkanon men ik ajab sa shor suntay hain,
Chalo acha yon kartay hain,
Suno tum ham sunatay hain,
Ham apnay dil k har ik zakhm se parda uthatay hain,
Dikhatay hain tumhen tanhiyan kia zulm dhati hain,
Jhalak har pal daro dewar men uski dikhati hain,
Hamen har pal satati hain har ik lamha rulati hain,
Hamri sanson men tehlil hay khushbo wohi ab tak,
Hamen har phol se mehkar un sanson ki ati hay,
Buhat mushkil si hoti ja rahi hay zindagi mere,
Taraptay hain sulagtay hain magar khamosh rehtay hain,
Chalo ye rat ham ik dosray ke naam kartay hain,
Chalo ik dosray ki aj ham tanhaiyan banten~!!




Tumhein waapis bulaati hain
Hum apne aap ko
Patthar anaa ke khauf se
Jitna bazaahir pur-sukoon rehne ke aadat daal lain
Per hijer ki bechain yakh basta hawa se
Raakh mein dhalti tamannayain bhi
Aakhir kap'kapaati hain
Sadaayain lar'kharaati hain
Tumhein maloom tu hoga
Ke katchi umer ki chaahat
Hazaroon saal bhi dil se kisi ghehre samundar mein
Rahay paband per
Phir bhi kabhi marti nahee
Mein ne bahut arsa tumhein
Yaadoon, khayaloon aur khwaboon ki
Nigahoon se kiya oujhal
Magar janaan ... !
Mein apne aap se ab larte larte thak gaya hoon
Aur
Akele pan ke weeraan shehar mein jab shaam dhalti hai
Tu muddat se thaki haari wafaayain
Saug mein doobe huwe kuch geet gaati hain
Tumhein waapis bulaati hain...



Aisi Hi Sard Shaam Thi Voh Bhi
Jab Voh Mahandii Rachaaye Haathon Mein
Apani Aahat Key Khauf Sey Larazaan
Surkh Aanchal Meen Muunh Chupaaye Hue
Apaney Khat Mujh Sey Leney Aai Thi
Us Ki Sehemi Hui Nigaahon Mein
Kitni Khaamosh Iltijaayen Theen
Us Key Chehrey Ki Zard Rangat Mein
Kitni Majbuuriyon Key Saaye They
Merey Haathon Sey Khat Pakadatey Hi
Jaaney Kya Soch Kar Achaanak Voh
Mera Shaana Pakad Kar Roi Thi
Us Key Yaaquut Rang Honton Key
Kap-Kapaatey Huey Kinaaron Per
Sainkdon An-Kahey Fasaaney They
Sard Shaamon Mein Der Tak Aksar
Jab Yeh Manzar Dikhaai Deta Hai
Ek Lamha Hinaai Haathon Sey
Mujh Ko Apani Taraf Bulaata Hai
Hum-Nashiin Ruuth Kar Na Jaa Mujh Sey
Aisi Hi Sard Shaam Thi Voh Bhi



Agar har chehre mein usika chehra nazar aata hain
agar har baato par uski naam lete hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
maine bhi kissi se pyar kiya tha..


agar kisike inthzaar karne mein samay nahin dykte
agar vuski aane par dil jhoom uttha hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
maine bhi kissi se pyar kiya tha..


agar kisike dhoor jane ke baadh unki yaad satati hain
agar sab ke saat rehte huye bhi akele mehsoos kartein hain
agar ise pyar kehte hain toh haan
mane bhi kissi se pyar kiya tah..


khud mein khud baatein karna
har pyarisi gaane par sirf hum donoka nazar aana
agar ise pyar kehte hain toh haan
Maine bhi kissi se pyar kiyahaah...


agar uski dil mein pyar ki koyi jaga nahin
phir bhi uski pyar ki intzaar karna
agar ise pyar kehte hain to haan
Maine bhi kissi se pyar kiya tha...



Mujhe hunar-mand samajhne wale log
Aksar kahte hai
Ki mein kai martaba
Apni kalam ki tahreer se
Hayaat ke falsafein
Bayaa karta hun!
Aur unke dilo pe
Jindagi k boont ko ghudh deta hun!!


Sochta hun!
dil khol k hasaa jaaye!
par savaal hai ki
kis par hasoon??????
Unke bholepan pe,
ya phir apni bebasi par!!!


Bebasi ki Kash!!!!!
kisi surat-e-haal mein,
aisa ho paata!!
Kash ek sanam-taraash ki tarah
ek hath mein chhaini
aur ek hath mein hathode ko tham kar,
kuch patthar-dilo pe
zindagi aur haqikat
ki ek surat taraash deta!!!


sochate aur jagate sansoun ka ik dariya huun main
apane gumgashta kinaroun k liye bahata huun main

jal gaya saaraa badan in mausamoun kii aag mein
ek mausam ruuh ka hai jis mein ab zinda huun main

mere honthoun ka tabassum de gaya dhokhaa tujhe
tuune mujhako bagh jana dekh le sehara huun main

dekhiye merii paziraaii ko ab aataa hai kaun
lamha bhar ko vaqt kii dahaliiz par aayaa huun main




Suno...


Jo Dil Mein Baat Hay Keh Do
k Kab Se Muntazir Hain Hum
Tumhary Chand Lafzoon k
Ajab Ik KashMakash Mein Hain
Ya To Tum Hum Ko Qaid Kar Do
Ya Phir Azad Kar Do
Jo Dil Mein Baat Hay Keh Do
k Jazba Koi b Ho
Izhaar Ka Muhtaaj Hota Hay


Suno...


Ab Bol b Do
Wagarna Yeh Moka
Hathoon Se Kho Baithy
To Pachtao Ge
Chalo Ab Keh b Do Hum Se
Karo Ab Tum Humy Saraab
Apny Lafzoon Ki Barish Se


Suno...


Hum Muntazir Hain...!!!



suno! tum yaad mat karna
agar hum mar bhi jain tu
dill-e nashaad ko phir sey
na tum bar baad ab karna
humain tum yaad mat karna
k ye yaadain tu jism-o roh ka
nasoor hoti hain
humarey wastey jevan ko yoon
be-noor mat karna
humain tum yaad mat karna
agar hum chor k tum ko
manoo mati main so jain
humaari aankh bojhal ho
aur hum nendoo main kho jain
humarey khwaab ko ankhoon main
phir aabad mat karna
suno! tum yaad mat karna
humarey wastey jevan ko yoon
barbaad mat karna



Akhri chand din december k
Har baras hi giraan guzartay hain
Khawahisho k nigaar khanay se
Kaise kaise gumaan guzarta hain
Ruftgaan k bikhray saayon ki
Aik mehfil si dil main sajti hai
Kitnay number pukartay hain mujhay
Jin se marboot bay nava ghanti
Ab fakat mere dil main bajti hai
Kis qadar pyaaray pyaaray naamon per
Raingti badnumaan si lakeerein
Meri aankhon main phail jaati hain
Dooriyaan dairay banati hain
Dihaan ki serrhiyon per kia kia aks
Mashalein dard ki jalatay hain
Naam jo kat gaaye hain unkay hurf
Aisay kaghaz per phail jaatay hain
Hadsay k muqaam per jaisay
Khoon sukhtay nishano per
Chawk se linay lagatay hain
Phir December k akhiri din main
Har baras ki tarhaan ab k bhi
Diary aik sawaal karti hai
Kya khabar uskay aagay tak
Meray un bay chiraagh safon se
Kitnay hi naam kat gaye hongay
Kitnay number bikhar kar raston per
Gard-e-maazi se aat gaye hongay
Khak k dhairon k daman main
Kitnay toogaan simat gaaye hongay
Har December main sochta hun
Aik din is tarhaan bhi hona hai
Rang ko roshni main khona hai
Apnay apnay gharon main rakhi hui
Diary dost dekhtay hongay
Un aankhon k khak daano main
Aik sehra sa phelta hoga
Aur kuch be nishaan safhon say
Naam mera bhi kat gaya hoga!




Suna Hai Ke Barish Use Bhi Passand Hai...
Woh Bhi Meri Tarhan...
Barasti Bundoon Ko Haathoon Mein Sameet Leta Hai...


Suna Hai Phool Use Bhi Passand Hein...
Woh Bhi Meri Tarhan...
Ghantoon Phooloon Se Baatein Karta Rehta Hai...


Suna Hai Chand Use Bhi Aacha Lagta Hai...
Woh Bhi Meri Tarhan...
Raat Raat Bhar Use Takta Rehta Hai...


Suna Hai Tanhai Use Bhi Bhaati Hai...
Woh Bhi Meri Tarhan...
Pehroon Tanha Beth Kar Kisi Ko Soocha Karta Hai...


Yeh Saari baatein Saachi Hein Magar...
Yeh Bhi Saach Hai...


Mein Jo Us Ke Bare Mein...
Har Baat Ki Khabar Rakhta Hoon...
Yeh Bhi Jaanta Hoon Ke Us Ki...
Sochoon Ka Mehwar Mein Nahein Hoon...!!!