Tumhari yaad ka mausam
Jo her ik dukh say gehra hai
Na jane kitni muddat say
hamare man main thehra hai

Mager tum nay nahi jana, mager tum nay nahi socha

Tumhare pyar ka mausam
jo her mausam se pyara hai
Mere in be-karaa'n lamhoon ka
woh wahid sahara hai

Mager tum nay nahi socha, mager tum nay nahi samjha

Tumhare baad ka mausam
Us kaali ghaata jaisa hai
Na jeeti aur na hari ho
ik aisi maat jaisa hai

Mager tum nay nahi deikha, mager tum nay nahi jana.......!!


Teri khushbuu ka patta kartii hai
Mujh peh ihsaan hawa kartii hai

Shab kii tanhaaii main ab tou aksar
Guftaguu tujh say raha kartii hai

Dil ko uss raah peh chalna hii nahin
Jo mujhay tujh say juda kartii hai

Uss nay dekha hi nahin werna yeh aankh
Dil kaa ehwaal kaha kartii hai

Shaam parrtay hi kisi shakhs kii yaad
Koochaa-e-jaan main sadaa kartii hai

Dukh huwa karta hai kuch aur bayaan
Baat kuch aur howa kartii hai

Maslaa jab bhii uthha charaaghon ka
Faisla sirf hawa kartii hai


Ab koi herf-e-dua kaam nahin aaye ga
Ab woh mehtab sar-e-baam nahin aaye ga

Ab dhalay ga na kabhi hijr ka jalta sooraj
Ab kabhi wasal ka hangaam nahin aaye ga

Jaa key us koochay mai yunhi palat aain gay
Waqt-e-rukhset koi dou gaam nahin aaye ga

Us ki galion mai hamain koi na pehchany ga
Koi taa'na koi dashnam nahin aaye ga

Dil key darwazaiy per dastak nahin day ga koi
Koi naama koi pegham nahin aaye ga

Magar aey bad-e-saba us say yeh jaa ker kehna
Is kahani mai koi naam nahin aaye ga


haadsey kya kya tumhaari be-rukhii say ho gaye
saarii dunya kailiye hum ajnabii say ho gayee

gardish-e-douraan, zamaanay kii nazar, ankhon ki niind
kitnay dushman aik rasm-e-dostii say ho gaye

kuch tumhaaray gaisouun kii barhamii nay kar diyee
kuch andheray meray ghar main roshnii say ho gaye

youn tou hum aagaah they sayyad kii tadbeer say
hum asiir-e-daam-e-gul apnii khushi say hso gaye

her qadam "Saghar" nazar aaney lagii hain manzilain
marhalay to merii kuch awaargii say ho gayee