Life Ka Sirf Ek Hi Usool Hai
Insaan Ya Toh Toot Kar Chahta Hai
Ya Phir Chahat Mein Toot Jata Hai,
Jab Toot Ke Chahe Toh Duniya Samet Leta Hai
Aur Jab Chahat Mein Toot Jaye To Bikhar Jata Hai
Toot Ke Chahey Toh Maut Ko Hara Deta Hai
Aur jab Chahat Me Toot Jaye
To Zindagi Se “HAAR” Jata Hai…
Ek din kaante ne phool se poocha kI “aye phool!”
mujhe tumhari mohabbat se kya haasil hua?
mujhe dekhte hi har koi apne teevar badal leta hai shayad
iss liye k main unhein zakhmi kar deta hoon
or Duniya tum par marti hai,
tumhari khushboo lene ko tarasti hai,
lekin mujhe tumhari mohabbat se kya milla?
Phool yeh sada sun kar muskuraya or kehne laga
tumhein to khush hona chahiye jiss par duniya marti hai!!
woh tumharay baghair ek pal nahin reh sakta.
jab mujhe koi tum se juda karta hai,
to mein mar jata hoon!!
kyon ki main
Sirf tum se mohabbat karta hoon!!!
Ek bas tu hi nahin mujhse khaffa ho baitha
maine jo sang taraasha vo khuda ho baitha
uth ke manzil hi agar aaye toh shayad kuch toh
shauq-e-manzil mein mera ablaapan[छाले]ho baitha
maslehat chiin gayi quvvat-e-guftaar[strength of talk] magar
kuch na kehna hi mera meri sada ho baitha
sukriya ae mere qaatil ae masihaa mere
zehar jo tune diya tha vo dawa ho baitha
jaan-e-'shehzad' ko min_jumlaa-e-adaa[half hearted welcome] pa kar
huuk vo thi ki jii tan se juda ho baitha
shikwa koi dariya ka rawani se nahin hai
rishta hi meri payas ka paani se nahin hai
kal yun tha ki ye qaide-zamani[samaye ki pabandhi] se thay bezaar
fursat jinhen ab saire-makani se nahin hai
chaha toh yakiin aaye na sachai pe isski
khaieef[dara hua] koi gul ahd-e-khizani[patjhad ka mausham] se nahin hai
dohrata nahin main bhi gaye logon ki baatein
iss daur ko nisbat bhi kahani se nahin hai
kehte hain mere haq mein sukhanfeham bas itna
shairon mein jo khoobi hai maaini[meaning] mein nahin hai