Aastino mein naag paale hai,
Loog bemaut marne waale hai,

Raunke jisme sar ba sajda thi,
Us haveli me aaj jaale hai,

Haddiyan choos lenge dunya ki,
Wo zamane ne kutte paale hai,

zakhm bakhshe hai usko phoolo ne,
Jisne pathar nichod dale hai,

Har parinde ki rooh larza hai,
Aise fande soonahre dale hai,

Sheesh mahloon ki aaj khair nahi,
Waqt ne sang wo uchale hai,

Sach ko jhutla diya tha jisne ,
Aaj uski jubaa me chhale hai,

Unko koi samagh nahi sakta,
Unke andaaz hi nirale hai,

Jo bhi katil hamare hai 'shoeb',
Phool se chehre bhole bhale hai.

Koi hath nahi khali hai
Ye nagri kaisi hai
koi kisi ka dard na jane sab ko apni padi hai
Uska bhi kuch haq hai aakhir
Usne mujhse nafrat ki hai
Phool dawa jaise mahke hai
kisi bimar ki subah hui hai
Jaise sadiyan beet chuki ho
Phir bhi aadhi raat abhi hai
Kaise kategi tanha tanha
Itni sari umer padi hai
Hum dono ki khub nibhegi
Main bhi dukhi hu woh bhi dhuki hai

Hindi Shayari

Tera kisi pe aye dil
Tera koy dukhaye dil
Tue bhi kaleja thaam kar
Muj se kahe k haye dil

Tera bhi dil KHUDA kare
Mere liye ho bekaraar
Tue bhi tarap tarap uthe
Asi chale hawaye dil

Neend na aye raat bhar
Bhatke idar udhar nazar
Chain ki ho duaa magar
Chain kaheen na paye dil

Tere bhi dil main dard ho
Tera bhi chaira zard ho
Meri tara na mil sake
Tuj ko kaheen dawaye dil.

mujhe-zindagi-ki-dua-na-day URDU SHAYARI  designed by creative sign

“Mujhe zindagi ki dua na do
meri zindagi se bani nahin
koi zindagio per karey yaqeen
mujhey zindagi pe yaqeen nahin
yeh safar bhi kaisa safar hua
mein kabhi kahin tou kabhi kahin
mujhey jis sanam ki talash thi
woh mila magar meraa nahin
mein woh raat hoon jo katti nahin
mein woh baat hoon jo bani nahin
mujhey zindagi ki dua na do
meri zindagi se bani nahin”

Kisi ne hume aashiq kaha,

Kisi ne hume diwana kaha….

In aankhon me aansu tab aaye,

Jab apno ne hume begana kaha….

E Khuda Aaj Ye Faisla Karde,
Use Mera ya Mujhe Uska Karde.
Bahut Dukh Sahe He Maine,
Koi Khusi Ab Toh Muqadar Karde.
Bahot Muskil Lagta Hai Usse Duur Rehna,
Judai Ke Safar Ko Kum Karde.
Jitna Duur Chale Gaye Woh Mujhse,
Use Utna Kareeb Karde.
Nahi Likha Agar Nasib Me Uska Naam,
To Khatam Kar Ye Zindagi aur Mujhe FANAA Karde.

Tere Dile mein meri saanson ko panah mil jaaye Tere Ishq mein meri Jaan Fanaa Ho jaayeâ.

Ankhen to pyar me dilki zuban hoti hai,
sachi chahat to sada bezuban hoti hai,
pyar mai dard bhi mile to kya gabrana,
suna hai dard se chahat aur jawan hoti hai....

Phool hun Gulaab kaâ?
Chameli ka mat samjhnaâ?
Aashiq hun aapkaâ?
Apni Saheli ka mat samjhnaâ

Dur Humse Jaa Paoge Kaise,
Humko Bhool Paoge Kaise.
Hum Who Khushbu Jo Saanson Mein Utar Jaye, Khud Apni Saanxon Ko Rok Paoge Kaise..

Bekhudi Ki Zindagi Hum Jiya Nahi Karte,
Yun kisika ka Jaam Hum Piya Nahi Karte.
Unse Kehdo Mohabbat Ka Izhaar Aakar Khud Karein,
Yun Kisika Peecha Hum Nahin Karteâ

RONE DE TU AAJ HAMAKO TU AANKHE SUJANE DE
BAHO ME LELE AUR KHUD KO BHEEG JANE DE
HAI JO SEENE ME QUAID DARIYA WO CHUT JAYEGA
HAI ITANA DARD KI TERA DAMAN BHEEG JAYEGA..

tere dil mein meri saanson ko jagah mil jaaye
tere ishq mein meri jaan fanaa ho jaaye
adhoori saans thi dhadkan adhoori thi adhooren ham
magar ab chaand poora hain falak pe aur ab pooren hain ham

Justooju Hai Auski Jo
Milnay Ko Milti Nahee Hai
Mohabbat Hai Ausko Mujhsay Magar
Izhar Karti Nahee Hai

Mangee Tih Aik Mulaqaat
Chandni Raat Us Pay Baadloon Ke Baraat
Setam Yeah Kai Fursat Ke Gharee
Ub Milti Nahee Hai

Gham-E-Zindage Her Din
Naey Naey Atay Hain Tarpatay Hai
Sohani YAADEIN Uski Lagzhishay Dil Pay
Mit Pati Nahe Hai