Chalo ab hum bichhartey hain

Sulagti dhoop mein ghum ki
Bhari aankhon ke saawan mein
Kaho tum alvida mujh ko
Khudha hafiz kahoon main bhi

Chalo ab hum bichhartey hain…

Safar yeh mukhtasar hoga
Yeh hum ko bhi khabar to thhi
Yeh tum bhi jaanti thhi ke
Koi din ka safar hai yeh
Kisi ek moor par ek din
Bichhar jaayen ge hum yun hi
Tumhari raah ki zid par
Mere raste khulenge

Yehi wo moor hai jis pe
Bichharna hai hamein hans ke
Alag raste pe chalna hai
Alag manzil ki jaanib ab

Chalo ab hum bichhartey hain…

Magar jaane se pahle
Aakhri darkhaast hai tum se
Safar lamba hai mujh ko dedo
Apni yaad ki poonji
Khanakte bool ke sikkey…
Ke kal jab khaamushi dar pe
Kabhi aa ke sadda dede
To dhar doon uske kaanse mein
Khanakte bol ke sikkey
Tumharey bol ke sikkey

Koi bhi atpata jumla Ke jis me ho
Quran-e-zeest ke aayat ka jaadu
Tum apni pyaari ungli se
Hamari peeth par likh do
Ke kal jab lafz dab Jaayen
Kitaabon ki imaarat mein
Yehi jumla parhunga main
Tumhara atpata jumla!!

Jaga do lams ke jugnu
Mere saare badan par tum
wo jugnu jo karein roshan
Tumhari yaad ko har dum
Ke kal jab bhi andhere se guzar hoga
Yehi jugnu to chamken ge
Tumhaare lams ke jugnu!

Bithaa do pyaar ki titli
Alag qismon ki rangon ki
Meri har shaakh pe chun ke
Ke kal jab zindagi berang hogi to
Yehi titli main dekhun ga
Tumhare pyaar ki titli!

Baha do aankh ka dariya
Mere kaandhe pe sir rakh ke
wo dariya jiss mein hon apne
Bitaaye sab ke sab saawan
Ke kal jab tashnagi meri
yeh jism-o-jaan jalayegi
Yehi dariya piyun ga main
Tumhari aankh ka dariya!!

Tum apne khushnuma naakhun
Chubho do mere seene par
Jhapat kar is qadar gahre
Ke rahti zindagi tak ek bhali si tees rah jaaye


Chalo ab hum bichhartey hain
Magar jaane se pahle
Aakhri darkhaast hai tumse
Safar lamba hai mujhko dedo
Apni yaad ki poonji
Khanakte bol ke sikkey
Koi bhi atpata jumla
Tum apne lams ke jugnu
Aur apne pyaar ki titli
Aur apni aankh ka dariya
Vohi ek tees laafaani!!!!


Usi Ko Apne Dil Mein Basaya Aur Basaya Kuch Bhi Nahi,
Jidhar Dekha Udar Woh Nazar Aya Aur Nazar Aya Kuch Bhi Nahi,

Duniyaan Walon Ne Bewaja Badnaam Kardiya Mujhe,
Maine Bas Uska Dil Churaya Aur Churaya Kuch Bhi Nahi,

Bas Aik Usi Ko Nahi Khona Chahtay Thay Hum Laikin,
Humne Bas Usi Ko Ganwaya Aur Ganwaya Kuch Bhi Nahi,

Woh Jisko Yaad Kiye Baghair Sotay Nahi Thay Hum,
Usne Bas Humein Hi Bhulaya Aur Bhulaya Kuch Bhi Nahi


ik pagli mera naam jo le sharmaye bhi ghabraye bhi
galion galion mujh se milne aye bhi ghabraye bhi

raat gaye ghar jane wali gum sum ladki rahon mein
apni uljhi zulfon ko suljhaye bhi ghabraye bhi

kon bichad kar phir lotey ga kiun awara phirte ho
raton ko ik chand mujhey samjhaye bhi ghabraye bhi

ane wali rut ka kitna khof hai us ki ankhon mein
jane wala door se hath hilaye bhi ghabraye bhi

kiya jane woh kon hai mohsin jis ki khatir raton ko
tez hawa pani par naqsh banae bhi ghabraye bhi


Park Ki Puraani Seaton Par
Baitay Baitay Do Saaye Thay
Un Saayon Ke To Dil Bhi Thay
Wo Saaye To Hum Tum Hee Thay

Kiya Bhool Gaye Un Baaton Ko
Jo Bait Ke Hum Kiya Karthay Thay

Wo Teri Hansi Ki Aawazein
Wo Mere Zakhmo Par Jaise Marham
Wo Tere Waaday Aur Dillasay Bhi
Mein Jin Pe Umeed Ki Dorain Bandtta Tha

Wo Tera Mil Ke Bicharna Phir
Mujhe Yaad Hai Wo Haqeeqat Bhi
Aur Phir Tera Na Mujh Se Kabhi Milna
Mera Un Seaton Par Bait Kar Akelay Rona

Phir Yaadon Ki Ghatlee Nikal Kar
Un Mein Kuch Achi Yaadein Chunna
Kuch Pagalpan Ki Baatein Thee
Kuch Chahat Ke Sapnay Bunna

Aur Phir Khatam Hoye Saaray Qissay
Jab Kaghaz Par Tehreer Banay
Mein Bhoola Nahi Hoon Saari Baatein
Magar Kiya Karon inhain Yaad Kar Ke


Bicharrne wale...!

Tujhe khabar hai?

K tere jaane se mera jeevan,

Hazaar khanoun main batt gaya hai,

Tujhe khabar hai bicharrne wale...!

K meri khushian he kho gai hain,

Main kitna tanha sa ho gaya hoon,

Wajood mera tou is safar main ,

Ye dekh zakhmoun se att gaya hai,

Main sochta hoon...

Magar yeh sochen,

Kyon aik nuqte pe jamm gai hain,

Mujhe yeh mahsoos ho raha hai,

K Jese saansen he thamm gai hain...

Mujhe bata de bichrrne wale...!

K khud ko kese sambhalna hai,

Hijar k rastouN pe chalte chalte,

Ye mere paaon lahoo main tarr hain,

Yaqeen ker le main thakk gaya hoon...

Bicharrne wale...! Tujhe Khabar hai?

Main kub ka khud se bicharr chuka hoon...!!!