Sochti hoon ke mein ne...
kion chaha, kion itna eitebaar kiaa...
tum ne chorr hi to jana thaa...

ajab si baat hai...
aankh band ho tumhen sochoon...
har dil ki dharrkan ...tumhen mangey...

is qadar pyar to nahen paao ge...
is terah paas koi aaye bhi to...
yaqeen hai mujh ko...
dhoondhtey raho ge...
lekin...kisey...kahan..

koi nahen hai ab to...
jisko dhoondh paao..
jissey dil ka haal sunao...

koi nahen hai...
khud hi to torr diye tum ne...
chahaton ke sab rishtey..
sab kassmen khud hi torr deen tumne...

sochti hooon...ab to shayed
aitebaar ker hi na paaoon..
jorr liya hai rishta..
is tanhaayee se ..
jo pal pal ehsaas dilati hai...
ke wo meri hai...

haan ye tanhayee meri hai....
aur koi nahen
kabhi nahen....!!!!


Tum apni ranj-o-ghum apni pareshaani mujhe de do
Tumhe gam ki kasam is dil ki veerani mujhe de do

Ye mana main kisi qaabil nahi hoon, in nigahon main
Bura kya hai, ye hairaani, ye dukh, mujhe de do

Main dekhoo to sahi duniya tumhe kaise satati hai,
Koi dil ke liye apni nigehbaani mujhe de do

Wo dil jo maine maanga tha magar gairon ne paaya hai,
Badi sahi hai agar pareshaani mujhe de do


Jahan jahan bersaat uterti daikhi hai
Her sou teri yaad bikherti daikhi hai

Tum se pehlay dil sa buzdil koi na tha
Aur phir iss dil se dunya derti dekhi hai

Dil ke gehray sannatay main raaton ko
Kabhi kabhi ik hook ubherti dekhi hai

Buss ik jeenay ki khwahish thi aur wo bhi
Hum ne apni aankhon merti dekhi hai


Ek chehra nayab dikhayi deta hai,
Khawbon mai bhi khawab dikhayi deta hai,

Kon hai jis ki khatir yeh pagal dil,
Har lamha betaab dikhayi deta hai,

Tere hi jalwon se mere afsane ka,
Roshan eke k baab dekhayi deta hai,

Pehli chahat ka nanha sa poda bhi,
Jiwan bhar shadab dikhayi deta hai,

Sapnon ki jab koi basti basti hai,
Be mousam selaab dekhayi deta hai,

Ghat’ti umr ki dolat kis ko dikhti hai,
Bas maal-o-asbaab dekhayi deta hai,

DUKH jaye jab RAGHIB wo roshan chehra
Phir kis ki mehtaab dekhayi deta hai…!!!!!


Yeh Dasht Yeh Wehshat Yeh Shaam k Saye,
Khuda Yeh Waqt Teri Aankh Ko Na Dikhlaye,

Usi K Naam Se Lafzon Mai Chand Utre Hain,
Who Ek Shakhs K Dekhon To aankh Bhar Aaye,

Kali Se Mai Ne Gul-e-Tar Jise Banaya Tha,
Ruten Badalti Hian Kese Mujhe Hi Samjhaye,

Jo Be Charagh Gharon Ko Charagh Deta Hai,
Usey Kaho K Mere Shehar Ki Taraf Aaye,

Yeh Iztarab-e-Musalsal Azaab Hai AMJAD,
Mera Nahi To Kisi Or Ka Ho Jaye……!!!!!!!!


Shaam hotay hee woh chokhat par jala kar shamma
Apni aplkon pay kai khwab sajati ho gi

Is nay silwa bhi liye hongay siyah rang k libaas
Ab matam ki tarah Khushi wo manati ho gi

Meray tareek zamanay say nikalnay wali
Roshni tujh ko meri yaad dilate ho gi

Dil ki masoom raggin khud he sulagti hon gi
Jonhi tasveer ka kona woh jalati ho gi

Roop day kar mujhay is mein shehzaday ka
Bachon ko kahani woh sunati ho gi

Sochta hoon k usay neend bhi aati ho gi
Ya meri tarah ashq bahati ho gi

Woh meri shakal mera naam bholanay wali
Apni tasveer say kya aankh milati ho gi

Is zameen par bhi hai selaab meray ashqon say
Mere matam ki sada arsh hilati ho gi…...!!!!!!