Sitam hi karna Jafa hi karna



Sitam hi karna Jafa hi karna


Nigaah-e-lutf kabhi na karna


Tumhein Qasam hai Hamaare Sar ki


Hamare Haq mai Kami na karna


Kahan ka Aana kahan ka Jana


Wo jante hi nahi ye Rasmein


Wahan hai Waade ki bhi ye Surat


Kabhi to karna kabhi na karna


Hamari Mayyat pe Tum jo aana


To chaar Aansu baha ke jana


Zara Rahe Paas-e-Aabru bhi


Kahin Hamari Hansi na karna


Wo ek Hamara Tarq-e-Ulfat k


Dushmanon se bhi mil ke chalna


Ye ek Shewa Tera Sitamgar k


Dost se Dosti na karna




Kya Tumhein Main Kabhi Yaad Nahi Aaya


To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?



Kisi Ghulaab ki Khushboo k bikharne per b

Zara se Aab ke Aankhon mai utarne per b

Kitaab uthate hoye, Geet koi Gatey hoye

Sanwar k dair talak Aainey ko takte hoye!


To kya Tumhain Mai kabhi Yaad hi nahi aaya?



Subha ko uthtay hoye, Shaam ko Tehlte hoye

Neend na aaye agar Karwatein badalte hoye

Kabhi yun hi kisi Makhsoos Dhun ko sunte hoye

Faarig Auqaat mai koi Kitaab parhte hoye!


To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?



Baraste Abr mai Chhat per kabhi Khare ho ker

Kisi ke Rooth ke Jaane per Chirchiray ho ker

Kisi Saheli se bus yun hi Baat karte hoye

Kisi Khayal mai Bethe se uth ke chalte hoye

Kisi bhi Raat ko uth ker yun hi Tehlte hoye!



To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?



Akele yun hi kabhi apni Dhun main chlate hoye

Kisi ki Saalgira per yun hi behlte hoye

Kisi unchayi pe Tanha sambhal ke charte hoye

Utarte Chaand ka Mojon mai Aks parte hoye!



To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?



Kisi Gulaab ko Tehni se Torr ker bhi nahi??

Kisi Darakht ke Saaye mai beth ker bhi nahi??

Apne Darwaze pe Dastak koi Sun ker bhi nahi??

Kisi Dareecha-e-Makaan se Khaank ker bhi nahi??



To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?



Apni Kitab mai koi Naam dekh ker bhi nahi??

Yaad-e-Maazi mai kahin Door Doob ker bhi nahi??

Kisi bhi Shakhs ko Khamosh dekh ker bhi nahi??

Kisi bhi Aankh ko Namm dekh ker bhi nahi??

Kahin Lafzon mai koi Aah dekh kar bhi nahi?

Azaan hoye hi Duaaon mai bhi nahi??



To kya Tumhain, Main kabhi Yaad hi nahi aaya?






Sab Ek Se Hain

Deepak Jugunu Chand Sitare Ek se Hai

Yani Saare Ishq ke Maare Ek se Hain !

Hijr ki Shab me Dekh to aake Mere Chand

Mere Aansu aur ye Taare Ek se Hain !

Darya Hoon Mai Bher Bhav ko kya janu

Mere Liye to Dono Kinare Ek se Hain !

Meri Kashti kis ne Duboyi kya Maloom

Sari Lehrien saare Dhaare Ek se Hain !

Kuch apne aur kuch Be-Gaane aur Mai khud

Meri Jaan k Dushman saare Ek se Hain !

Ab Batlao Hum kis se Fariyad Karien

Kaatil, Haakim, Munsif saare Ek se Hain !

Sarey Mausam Tere Naam


Surkh Ghulab k Sarey Mausam Tere Naam
Her Subah ka pehla Ujaala Tere Naam

Teri Yaad ka behta Darya Mere lye
Behti Jheel mai Phool Kanwal ka Tere Naam

Jitne Khawab Khuda ne Mere Naam likhe
Un Khawabon ka Resha Resha Tere Naam

Tere bina jo Umar Beeti Beet gayi
Ab is Umar ka baqi Hissa Tere Naam



Usne kaha kon ho Tum?
Mai ne kaha Hasrat Tumari

Usne kaha Taktey ho kya?
Mai ne kaha Surat Tumhari

Us ne kaha kartey ho kya?
Mai ne kaha Pooja Tumhari

Usne kaha Kaafir ho kya?
Mai ne kaha aisa hi sahi

Usne kaha chatey ho kya?
Mai ne kaha Mohabbat Tumhari

Usne kaha Pachtaoge,
Mai ne kaha KismatHamari

Usne Kaha Married hoon mai.
Mai ne kaha Sorry BAJI