Patthar tha Magar Baraf k Galon ki tarha tha
Ek Shakhs Andheron mai Ujaalon ki tarha tha
Khawbon ki tarha tha na Khayalon ki tarha tha
Woh Ilm-e-Riyaazi k Sawalon ki tarha tha
Uljha hua aisa k kabhi Hal ho nahi paya
Suljha hua aisa k Misaalon ki tarha tha
Wo Mil to gaya tha Magar apna hi Muqaddar
Shatranj ki Uljhi hoi Chaalon ki tarha tha
Wo Rooh mai Khushbo ki tarha ho gaya Tehleel
Jo Door boht Chand k Haalon ki tarha tha
Labels:
Patthar tha Magar.....
Wafa Wo b nahi karte, Wafa Hum b nahi karte
Unhein Ruswai ka Dukh, Hamein Tanhai ka Darr
Gila Wo b nahi karte, Shikwa Hum b nahi karte
Kisi Morr per Takrao ho jata hai aksar
Ruka Wo b nahi karte, Thera Hum b nahi karte
Jab b dekhte hain Unhein, Sochte hain kuch kahein unse
Suna Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte
Lekin! ye b Sach hai k Mohabbat Unhain b hai
Izhaar Wo b nahi karte, Kaha Hum b nahi karte
Labels:
Mila Wo Bhi Nahi Karte
Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain
Kabi Mehfil Mehfil phirtey hian, Kabi Zaat mai Tanha hote hain
Kabi Chup ki Mohrr lagate hain, Kabi Geet Labon per latey hian
Kabi Sab ka Dil Behlatey hain, Kabi Khood mai Tanha hote hain
Kabi Shab-Bhar Jagte rehte hain, Kabi Lambi Taan ker sotey hain
Hum Nazuk Nazuk Dil wale Bus aise hi to hote hain
Kabi Hanste hain Kabi Rote hain Kabi Dil mai Khuwab pirotey hain
Labels:
Hum Nazuk Dil Wale
Subscribe to:
Posts (Atom)