Song: Vasl

Singer: Zila Khan
Lyrics: Sabir Zafar
Music: Farrukh Abid & Shoab Farrukh
OST: Vasl - Hum Tv

mehsoos karke dekhte
dil mein utar ke dekhte
tum saath jee ke dekhte
tum saath mar ke dekhte

na ye jeet hai na ye haar hai
ye kesa vasl -e- yaar hai (x2)

vasl -e- yaar aziyyat hai
vasl -e- yaar nadaamat hai
ye vasl to raqaabat hai
ye vasl hi qayaamat hai

mera dard hi mera pyar hai
ye kesa vasl -e- yaar hai (x2)


mujhe reza reza bekhair ke
tu chala gaya tu karun mein kya
kahun haal -e- dil na mein is liye
mujhe darr hai tere gureyz ka

meri khawahishon ka mazaar hai
ye kesa vasl -e- yaar hai (x2)


meri rooh mein, meri zaat mein
wo jo zehr ban ke utar gaya
ye wo karb hai, ye wo ghaao hai
mere yaar ne jo mujhe diya

ye jo aag hai, ye sharaar hai
ye kesa vasl -e- yaar hai (x4)





Song: Baat Karle Mujh Se

Singer: Raahat Fateh Ali Khan
Lyrics: Sabir Zafar
Composer: Waqar Ali
OST: Noor Bano - Hum TV


baat karle mujh se mere khaali pan
baat karle meri tanhai ki
baat karle mujh se mere soone man
baat karle meri ruswaai ki

poore chaand ki rena
pyaase pyaase nena
baat karle mere harjaai ki
baat karle mujh se mere paagal pan
baat karle meri tanhai ki


jin ki aankhon mein apna hi dekhna tha
meine un aankhon mein dekha kisi ka rang
tha mera tu khuwab adhoora ya haqeeqat thi
meri qurbat mein mera yaar aur kisi ke sang

baat karle mujh se O deewane man
baat karle meri tanhai ki

poore chaand ki rena
pyaase pyaase nena
baat karle mere harjaai ki
baat karle mujh se mere khaali pan
baat karle meri tanhai ki

Song: Mein Tenu Samjhawan Ki
Singer: Rahat Fateh Ali Khan
Movie: Virsa
Music: Jawad Ahmad
Lyrics: Ahmad Anees, Dr. Amanullah Khan
Year: 2010
IMDB: here


nai jeena tere baajo

nai jeena nai jeena
nai jeena tere baajo
nai jeena nai jeena

mein tenu samjhawan ki
na tere baajo lagda ji
mein tenu samjhawan ki
na tere baajo lagda ji
tu keejaren piyar mera
mein karan intizar tera
tu dil tu yun jaan meri

mein tenu samjhawan ki
na tere baajo lagda ji
Haaye tu keejaren piyar mera
mein karan intizar tera
tu dil tu yun jaan meri
mein tenu samjhawan ki
na tere baajo lagda ji

mere dil wich re ke mere
dil da haal na jaaren
tere baajo kaleyan weyn ke
ronde nen numande
jeena mera Haaye
marna mera naal tere si
kar aetibar mera
mein kara intizar tera
tu dil tu yun jaan meri

mein tenno samjhawan ki
na tera baajo lagda ji

HOo,oo,o,o
ri changaan nayyon kirta wi maan
ze changaan nayyon kirta wi maan
dil mera so ruke
ze bara pachtaya tha
ze bara pachtaya tha
mein maaroon jhoom ke

sunjiyan sunjiyan dil diya galiyan
sunjiyan meriyan baawan
aaja teriyan khashboo walon
love diyan meriyan saaman
tere bina keeven kara door udasi
dil beqrar mera
mein karan intizar tera
tu dil tu yun jaan meri

mein tenno samjhawan ki
na tera baajo lagda ji
Haaye tu keejaren piyar mera
mein kara intizar tera
tu dil tu yun jaan meri

mein tenu samjhawan ki
na tere baajo lagda ji


Find more lyrics of songs from movie "Virsa".





Song: Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Singer: Rahat Fateh Ali Khan
Drama: Meri Zaat Zarra-e-Benishan


Tere siwa kya jaane koi dil ki haalat Rabba
Saamne tere guzri mujh per kesi qayamat Rabba


main wo kis tarah se karoon bayaan
jo kiye gae hain sitam yahaan
sune kon meri ye daastan
koi hamnasheen he na raazdaan
jo tha jhoot wo bana sach yahaan
nahi kholi mene magar zubaan
ye akela pan, ye udaasiyaan
meri zindagi ki hain tarjumaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan



kabhi sooni subh main ghoomna
kabhi ujri shaamon ko dekhna
kabhi bheegi aankhon se jaagna
kabhi beete lamhon ko sochna
magar aik pal he ummeed ka
he mujhe Khuda ka jo aasra
na hi mene koi gila kiya
na hi mene di hain duhaaiyaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan


main bataoun kya, mujhe kya mile?
mujhe sabr hi ka sila mile
kisi aagahi ki rida mile
kisi dard hi ka sira mile
kisi gham ki dil me jagah mile
jo mera he wo mujhe aa mile
rahe shaad yoon hi mera jahaan
ke yaqeen me badle mera gumaan

Meri Zaat Zarra-e-Benishan
Meri Zaat Zarra-e-Benishan