Gehree gehree aankhon waali
uljhee uljhee paagal larki ..
tu yeh kis ki dhun main aakhir , lambi lambi palkon ooper..
motay motay aansu le ker..
sunder komal pairon neechay , jalti balti dharti day ker
kariya kariya bhaag rahee hai, kis ki khaatir jaag rahee hai ..

Tujhko ye maloom naheen kya
tujh jaisi najaanay kitnee gehree gehree aankhon waali..
kaisi kaisi sunderta kay dhair khazaanay lay ker nikleen
lekin phir bhi is rastay say manzil tak puhnchaanay waala...
HAR iK SAATHi JHOOTA NiKLA
ik ik aasha dushman niklee ik ik sapna dhoka nikla
sacha har ik khadsha nikla
Dekho ! tum bhi jaanay do ab
nadaani ka jitna rasta tum nay ab tak tey ker daala
us rastay say ghar ki manzil
ab bhi itni door naheen hai
ab bhi waapis jaa saktee ho,sab kuch waapis paa saktee ho
ab bhi gar tum nadaani kay is rastay say ghar na palteen
to phir ik din aisa na ho ga
SUNDER AANKHAin MAR JAAYEiN GEE
palkain khoon say bher jaayeingee
jaan labon per aa jaaye gee
Tan kay saaray ujlay-pan ko ghor musafat khaa jaaye gee
us din phir tum chilao gee , lekin kuch na haasil ho gaa
saaray lums kay bhookay saathi punkh laga kay urr jaayeingay
tum rastay main reh jao gee , rasta bhi wo jis ke peechay
DARR ki gehree daldal ho gee , aagay ghum ka jungal ho ga , sir per gehra baadal ho gaa

Us din ke aanay say pehlay , Us din tak jaanay say pehlay
waqt milay to dhalnay waalay
HAR LAMHAY Ki ZAAT PAY SOCHO
duniya ki bareek nazar say , duniya ki har baat pay socho
Jazbon ki aukaat hi kya hai
jazbon ki aukaat pay socho
Wo Dekho ! ik saaye per phir weeraanay main bijlee karki...
GEHRi GEHRi AANKHON WAALi , ULJHi ULJHi PAAGAL LARKi !