*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*
Hua hai haal yeh barish ki meherbaani se
Zamee'n k zakham hare ho gaye hain paani se
Dhale hain ashak shab e ghum barhi rawani se
Abhi charagh jalaye hain humne paani se
Na kaam aayi meri jurrat e lab-e-izhaar
Woh badgumaa'n hi hua aur khushbayani se
Main chahta hu'n tumhara bharam rahe qayam
Nikaal do mere kirdaar ko kahani se
Mujhe bhi chehra shinasi ka agaya hai hunar
Mila kamaal ye dushman ki meherbani se
Kisi se kuch na kaha aur keh diya sab kuch
Zuba'n ka kaam liya maine be zubaani se
Abhi zamee'n se nahi rabta mera SIDDIQ
Guzar raha hoo'n abhi daur-e-asmaani se
*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*~*