Barish mein jo nikli main
maatam ki sada aayi
noha mera kehne ko
pur-shur hawa ayi.
Iss ghar ki chatien kuch tu
mazboot karu tum bhi
baher tu zara jhankuo
ghanghor ghata aayi.
Main baech ke puhnchi hoon
iss dil ki sabhi qadrein
per log kehte hein....
main bighri ko bana aayi.
Nuqsaan tumhara hai
tum ne na suna kuch bhi
dilchasp sa qissa tha
gheeroon ko suna aayi
Yeh jism tu fani hai
ruhon ka milan huga
yeh jiss mein likha tum ne..
woh khat bhi jala aayi
Main haar chuki baazi
iss aankh macholi ki
her simat tumhein dhonda
her simat hila aayi.
The 14th death anniversary of noted poetess Parveen Shakir was
observed especially in literary with solemnity and reverence.
It may be recalled that Parveen Shakir, 42, was killed in a
road accident here on December 26, in 1994.
Perveen Shakir gave special feminine touch to
Urdu poetry in a distinct voice of her own.
When Amjad Islam Amjad and Faraz were talking about commitment,
lost love and feminine beauty, she talked about betrayal,
ecstasy and masculine beauty.
It was also for the first time in Urdu literary history that someone
talked about intimate sentiments regarding dolls, bangles, little girls,
ponds, waterfalls, air, cloths, perfume, full moon, and husbands.
The delicacy and subtlety of feeling and emotion in Parveen's poetry
made her poetry "a thing of beauty" which "is a joy forever".
Her first book, Khushboo, won the Adamjee Award.
Later she was awarded the Pride of Performance.
Books
Khushboo (1976) Fragrance
Sad-barg (1980)
Evergreen Khud-kalaami (1990)
Talking to Self Inkaar (1990)
Denial Maah-e-Tamaam (1994) - Full Moon
December tum mat aaya karo
Suno k
Jab bhi tum aate ho
Udasiyon ki undeikhi
BARISHON MEIN DIL KO BHIGHO DEITE HO
Tum aate ho to...
Barfeeli si tanhaiyon ki
Sard hawa kantton ki tarah
Rag-e-jaan mein chubhne lagti hai
Aur akayle pan mein
Dukh jaag kar
Neendon ko nigel jate hein
Aur jo apne..
Judaai ki dhund mein.. Kho gaye hein
Hum se buhat door ho gaye hein
Unki yaad.. phir se aane lagti hai
"Suno December" Tum mat aaya karo!!!
NA JANAY KYON MERA KAJAL
JAB BHI DAALO AAKHON MAIN AAB
AKSAR PHAIL JATA HAI
MEIN ROI TO NAHI HOON
TUM TO JANTAY HO IN DINO
BUHAT HI THAND HOTI HAI
TAB HI HAI SURKH MERI NAAK
MEIN ROI TO NAHI HOON
KAHA TO HAI KAY YUN HI BUS
BHEEGA HAI AANCHAL KA KONA
CHHORO TUM FIKAR MAT KARO
MEIN ROI TO NAHI HOON
NAHI, UDAAS KAB HOON MEIN
ZIYADA KAM KARNAY SAY
THAKAWAT HO HI JATI HAI
MEIN ROI TO NAHI HOON
EID AEI HAI, WOH AAB BHI
NAHI AATA TO NA AYE
AB US KI YAAD MEIN DEKHO
MEIN ROI TO NAHI HOON
BATA DAYNA US KO JA KAR
KOI KHUSH-FEHMI NA PAALAY
WAISAY HI SURKH HAIN AANKHAIN
MEIN ROI TO NAHI HOON !!!!
Dastak kisi ki hai ke guman, dekhnay tou de
Darwaza humain tez hawa kholnay tou de
Souda hai umr bhar ka, koye khail tou nahi
Ae chashm-e-yaar, mujh ko zara sochnay tou de
Apnay lahu ki taal pe khawahishon ke mor ko
Ae dasht-e-ehtiyat, kabhi nachnay tou de
Yeh saat aasman kabhi mukhtasir tou hon
Yeh ghoomti zameen kahin thairnay tou de
Us harf kun ki ek amanat hai mere paas
Laikin yeh kaiynat mujhay bolnay tou de
Shayed kisi lakeer mein likha ho mera naam
Ae dost, apna hath mujhay dekhnay tou de
Bay qarar mausam may
Yaad k jharoko'n say
Phir Tum hi sy milnay ki
Dil may kitni khawahish hai
Jo udaas rakhti hai
Aaj kal decemeber ki
Phir udaas shaamein hain
In ujaarr aankho'n may
Zard zard raatein hain
Barishon k mausam may
Toot phoot jata hoon
Jab bhi yaad aatay ho
Khud ko bhool jata hoon…..!