Door aa bethi thi zamane se
phir bhi duniya satane aa puhnchi
dil ki veraani pe hairaan thi abhi
ke khizaan gul churane aa punchi
sang-zani jab thami tu chalne ko
khaar rasta sajane aa puhnchi
dil ne jab saaz dard ka cheera
aankh aansoo bahane aa puhnchi
din ki vehshat se bach ke nikli thi
raat nindiya churane aa puhnchi
pur-sakoon main hui tu lamhoon mein
yaad teri satane aa puhnchi...
koi humdam na mila tu main khud
rasm-e-duniya nibhane aa puhnchi
main bhi gul ke astane per
apni bighri banane aa puhnchi!
Balraj Komal is one of the most respected poets in Urdu. He had achieved fame as a poet of repute nearly five decades ago. Essentially a poet of Nazm, Balraj Komal has also written ghazals and tried his hand at other genres. Here is a ghazal:
खोया खोया उदास सा होगा
तुमसे वोह शख्स जब मिला होगा
फिर बुलाया है उसने ख़त लिख कर
सामने कोई मसला होगा
रूह से रूह हो चुकी बद-ज़िन
जिस्म से जिस्म कब जुदा होगा
कुर्ब का ज़िक्र जब चला होगा
दरमियान कोई फासला होगा
घर में सब सो रहे होंगे
फूल आँगन में जल चुका होगा
कल की बातें करोगे जब लोगो!
खौफ सा दिल में रूनुमा होगा
बलराज कोमल
khoyaa khoyaa udaas saa hogaa
tumse voh shakhs jab milaa hogaa
phir bulaaya hai usne khat likh kar
saamne koi maslaa hogaa
ruuH se ruuH ho chukii bad-zin
jism se jism kab judaa hogaa
qurb ka zikr jab chalaa hogaa
darmiyaaN koii faaslaa hogaa
ghar mein sab so rahe hoNge
phuuL aaNgan meN jal chukaa hogaa
kal kii baateN karoge jab logo!
Khauf saa dil meN ruunuma hogaa
Balraj Komal