Kabi Tum apni Mohabbat ka Aitbaar to do
Mai chahoon Toot k Tum ko ye Ikhtiyaar to do
Guzarti hi nahi Mujh se ye Zindagi Tanha
Sahara Pyaar ka deker isey guzaar to do
Mai sochta Hoon Tumhare bagair kya hoga?
Dil-o-Dimaag per ek Bhoj hai utaar to do
Mere khayal ki Raahon ko Keh-Kishaan kar do
K Roshni se Meri Zindagi Sanwaar to do
Umeed-e-Wafa Ghum-e-Hijar ka Muda'wa hai
Mai Intizaar karoon magar Zabt-e-Intizaar to do

Yeh Zara Zara Si Baat Per
Yeh zara zara si Baat per tarah tarah ka Azaz kyun?
Jo kisi se b Khafa na ho, Mujhe us Khuda ki Talash hai
Mujhe Lagzishon per her Ghari, Koi Tokta hai Baar Baar
Jisey kar k Dil ko Dukh na ho Mujhe us Gunaah ki Talash hai
Bina Hamsafar k kab Talak, Koi Musafaton mai laga rahey
Jahan koi kisi se Juda na ho, Mujhe us Raah ki Talash hai
Mujhe Dekh ker jo Ek Nazar, Mere Saarey Dard Samjh sake!!
Jo is qadar ho Chaara-Gar, Mujhe us Nigaah ki Talash hai


Mai Paarsa Bhi Nahi

Mai Paarsa b nahi aur Mai Bura b nahi
Suraag-e-Manzil- e-Janaan Mujhe Mila b nahi

Mijaaz Fitrat-e-Aadam se Mai Juda b nahi
Tamam Umar chala Mai kahin Ruka b nahi

Yeh Kis maqaam per le aaya Junoon Mujh ko
Khayal-e-Yaar ka Roshan jahan Diaa b nahi

Yeh Bar-Hami, yeh Tagafull, yeh Be-Rukhi kesi
Zabaan-e-Haal se Mai ne to kuch Kaha b nahi

Mai kis tarah karoon Izhaar-e-Ghum Sar-e-Mehfil
Mujhe Saleeq Aadab-e-Iltija b nahi