Hum ne aaj kuch sach likhne ki himmat ki hai
Koi jadoo nahi! hum ne tum se mohabbat ki hai
Woh ek lamha bhi jo teri yaad ke bina guzra
Us pal mein hum ne khud se bhi nafrat ki hai
Har shakhs milta hai aaker hume khuloos se
Baat meri soorat ki nahi! baat to seerat ki hai
Tum se pahle koi bhi na aa saka wahaan
Dost jis dil pe aaj tum ne hukumat ki hai
Ye mere dil ka dard kam kyun nahi hota
Aie dil hum ne kya dukhon se ulfat ki hai
Sazaa milegi tum ko bhi iss faisle ke baad
Mere zameer ne sach bolne ki jurrat ki hai
Hum bhi kuch aisa kamaal karna chahte hain
Hum chand ko qareeb se dekhna chahte hain
Ab ye jaan jaye ya rahe safar-e-mohabbat mein
Hum to bas apna wada nibhana chahte hain
Suna hai ke maut badi haseen ho jayegi isliye
Hum unki baahon mein marna chahtey hain
Meri deewangi to dekho ke ek pathar se
Hum apna haal-e-dil sunana chahte hain
Koi to ho jo rooke iss waqt-e-tufaan ko
Hum ek aashiyaan banana chahte hain
Ae DIL-e-Nadan zara tham ke dharakna seekho
Hum us shakhs ko bhulana chahte hain
Har din nazar aata hai mujhe raat tere baad
Phir zindagi ne chora mera sath tere baad
Mere hont hansi bhoole meri ankh hue num
Kitne bure hue hain halat tere baad
Hain nafraten hi nafraten aa dekh to sahi
Dunia hoi hai kitni badzaat tere baad
Ansoo hain keh ankhon ka bharam rakhte hi nahi
Rukti nahi hai ashkon ki barsaat tere baad
Tahzeeb tujh ko bholna chahe tu kis tarah
Hain dil mein ab bhi tere khaialaat tere baad
Kyun pyaar us par hi aata hai, Jo mil kar bhi naa mil pata hai.
Kaise yeh usse batayein hum,
Tujh bin rah na paayein hum.
Kyun baar baar woh satata hai -
Kuwaabon main aakar rulata hai?
Bhulanaa us ko chahein hum,
Par kis tarah bhulaayein hum?
Woh mann main har dum rahta hai,
Dharkan ki tarah dharkta hai.
Hain issi ehsaas se zindaa hum,
Hain ek-duje ke dil o jaan hum.
Ek duje ke dil main rahte hain -
Kya pyaar issi ko kahte hain?
Designed by: Siddiq Ashraf
Daagh e dil ye dil muje dhonay nahi deta....
Dolat tu apni koi b khonay nahi deta....
Hoti hai laakh ghum ki dawa neend b magr....
Hota hai aisa ghum b k sonay nahi deta.
Kyon na jale jigr milta hai tapaak se....
Tasvir b jiski main choonay nahi deta.
Ashko se izhar e ghum karte nahi kyo k....
Lihaaz e ehle chashm e nam ronay nahi deta.
Chahat si na chaah mili warna main tu ''Dosh''.....
Mar deta usko juda honay nahi deta. Poet:Khawaja Muhammad Farooq ''Dosh''