gaye baras ki eid ka din kiya acha tha
chand ko dekh ke uska chehra dekha tha

faza mein cactus ke lehje ki nermahat thi
mausam apne rang mein faiz ka mesrah tha



Dua ke be-awaz, ulohi lamhoon mein
woh lamha bhi kitna dilkash lamha tha



haath utha ker jab Aankhoon hi
aankhoon mein...
uss ne mujh ko apne Rab se manga tha



Phir mere chehre ko haatoon mein le ker
kitne piyaar se mera matha chooma tha!



Hawa! kuch aj ki shab ka ahwaal suna
kiya woh apni chat per aj akeela tha?



ya koi mere jessi saath thi, aur uss ne
chand ko dekh ke uss ka chehra dekha tha?
~Parveen Shakir~