Kahin aik masoom nazuk si ladki
Bohat khobsoorat mager sanwali si

Mujhay apnay khwabon ki banhoon main paa ker
Kabhi neend main muskurati tu ho gi

Usi neend main kasmasa kasmasa ker
Serhanay se takiyay girati tu ho gi

Wohi khawab din ki khamoshi main aa ker
Usay man hi man main lubhatay tu hongay

Kaii saaz seenay ki khamoshion main
Meri yaad se jhun jhanatay tu hongay

Woh besaakhta dheemay dheemay suron main
Meri dhun main kuch gun gunati tu ho gi

mujhay khat likhnay wo bethi tu hogi
Mager ungliyan kapkapati tu hon gi

Qalam haath se choot jata tu ho ga
mager qalam phir say uthati tu ho gi

Mera naam apni kitabon pe likh ker
Woh Danton main ungli dabati tu ho gi

Zuban se kabhi uff nikkalti tu ho gi
Badan dheemay dheemay sulagta tu ho ga

Kahin k kahin paoon pertay tu hongay
Zameen pe dupata latakta tu ho ga

Kabhi subah ko shaam kehti tu ho gi
Kabhi raat ko din banati tu ho gi

Kahin aik masoom nazuk si ladki
Bohat khoobsorat mager sanwali si.