Farq sirf itna sa tha, US ki doli uthi meri maiyat uthi,
phool US per bhi they, phool mujh per bhi they,
mehfil wahan bhi thi , log yahan bhi the,
Un ka hansna wahan, in ka rona yahan,
sahelian us ki bhi thin, dost mere bhi they,
Do qul US k perhey, do qul mere perhey,
Qazi udher bhi tha, moulvi idher bhi tha,
WOH saj k gaya, mujhe sajaya gaya,
WOH uth k gaya, mujhe uthaya gaya,
Farq sirf itna sa tha usey APNAYA gaya, mujhe DAFNAYA gaya….


Urdu Shayari - Urdu Sher - Urdu Ghazal



jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena
ho sake to aisa bhi karna
bahut dinon tak ilzaam na dena

thoda pyaar bhi yaad rakhna
thodi muskaane bhi
aye mere haseen dost
mujhko sirf ilzaam na dena

teri yaad pal pal sataayegi
phir zindagi is patte ko udaa le jaayegi
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

kaash kuch din aur hote kismat mein
kaash main adna insaan na hota
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

tera dard ab na baat paoonga
teri kismat phir kahan sanwaar paoonga
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena

ho sake to kabhi mujhe maaf kar dena
ho sake to mere liye
apne aansoo khud ponch lena
jaata hoon tere dar se
mujhko tum bhula dena