Titliyon k mausam main
nochna gulabon ka
reet iss nagar ki hai
aur janay kab se hai
sheher k ye bashinde
nafraton ko bo ker bhi
intazar kerte hain
fasl ho mohabbat ki
bhool ker haqeeqat ko
dhoondna sarabon ka
reet is nagar ki hai
aur jane kab se hai
abhi tum naye ho na
isi liye pereshan ho
aasman ki jaanib
iss tarha se mat dekho
aafatain jab aani hoon
tootna sitaroon ka
reet iss nagar ki hai
aur jane kab se hai
khamshi mera sheva
guftagoo hunar uss ka
meri begunahi ko
loag kese manain gay
baat baat per jab k
maangna hawalon ka
reet iss nagar ki hai
aur jane kab se hai
ajnabi fizaoon main
ajnabi musaafir se
apne har ta'aluq ko
daayemi samajh lena
aur jab bichar jana...
mangna duaaoon ka
reet is nagar ki hai
aur jane kab se hai