kabi jo ahd e wafa meri jaan terey merey darmyaan tootey
main chahta hon k is se pehley zameen pe yeh asmaan tootey
teri judayee mein hoslon ki shikast dil pe azaab thehri
k jesey munh zor zalzalon ki dhamak se koi chattaan tootey
usey yaqiin tha k us ko merna hai phir b khuwahish thi usk dil mein
k tez chalney se paishtar dast e dushmanaan mein kamaan tootey
sab daleelain sanbhal kar b merey vakeelo yeh soch lena
vahin pe meri shikast hogi jahan b mera byaan tootey
fana k teeley pe khaima e jaan hava k jhonkey se yun gira hai
k jesey badqismati se buzdil shikaryun ki machaan tootey
voh sang hai to girey b dil par voh aina hai to chubh hi jaiega
kahin to mera yaqiin bikhrey kahin to mera gumaan tootey
ujarr ban ki udas rut mein gazal to Mohsin ne chairr di hai
kisey khaber hai k kis k masoom dil pe ab k yeh taan tootey ?